Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

11
NUSRAT FATEH ALI KHAN TUM AIK GORAKH DHANDA HO Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum Dair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

description

poem on God being the Mystery and this Kalam is beautifully sung by Ustad Nusrat Fateh Ali Khan of Pakistan

Transcript of Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

Page 1: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

NUSRAT FATEH ALI KHAN TUM AIK GORAKH DHANDA HOKabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha

Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan PohchaGhareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye LaikinKisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha

Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa HoHo Bhi Nahi Aur Her Ja HoTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa HaiHairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda HoTujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta

Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha HaiTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen TumAur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum

Tum Ek Gorakh Dhanda HoJab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi

Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah KarnaTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan TeraDo Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera

Tum Ek Gorakh Dhanda HoJo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai

Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila HaiAdam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai

Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata HaiMein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai

Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda HaiTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia HoHaath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda HoAqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa

Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker HoaTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta NahiDour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi

Tum Ek Gorakh Dhanda HoPata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna

Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil MeinTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab K Tujh Bin Nahi Koi MaujoodPhir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda HoChuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho TumDair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum

Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To TumYeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum

Tum Ek Gorakh Dhanda HoDil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai

Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha HaiRooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha HaiDay K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha HaiKar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha HaiYeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai

Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha HaiDai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai

Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha HaiTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Page 2: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay HoKabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho

Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay HoKhuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho

Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay HoChahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho

Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay HoJazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho

Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay HoApni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith'ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho

Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay HoJustujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho

Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay HoSohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay HoKhudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda HoAap Hi Apna Pardah Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda HoJo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa

Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka NawasaKiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa

Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara SaHer Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na DilasaKal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa

Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi ShanasaTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairat Ki Ik Dunya HoTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi MaloomTumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom

Tum Ek Gorakh Dhanda HoDil Say Armaan Jo Nikal Ja'ay To Jugnu Ho Ja'ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa'ay To Aanso Ho Ja'ayJa Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja'ay

Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja'ayTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum BhiDaastan E Niyaaz Ho Tum Bhi

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho...

Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban DaikhoonBana Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon

Aik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan DaikhoonKahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon

Kahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan DaikhoonKhoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon

Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan DaikhonKahin Murjha'ay Howe Phool Hein Sach'chaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon

Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan DaikhoonRaat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai

Mein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya HaiTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Daikhnay Wala Tujhay Kia DekhtaTu Nai Her Rung Say Pardah Kia

Tum Ek Gorakh Dhanda HoMasjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay

Sub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh ManayIk Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail Hai

Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta HaiHein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay

Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam KeTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Page 3: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

Dair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe TuJiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe Tu

Tum Ek Gorakh Dhanda HoHer Ik Rung Mein Yakta HoHer Ik Rung Mein Yakta HoTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Markaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar SuHu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru

Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-AarzoAankh Nay Ker Lia Aanso'on Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu

Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari GuftaguNaaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah HuAllah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan PohnchaTumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan PohchaGhareeb Mit Ga’ay, Pamaal Ho Gaye LaikinKisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa HoHo Bhi Nahi Aur Her Ja HoTum Ek Gorakh Dhanda HoHer Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa HaiHairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia HaiTum Ek Gorakh Dhanda HoTujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi MiltaMagar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha HaiTum Ek Gorakh Dhanda HoDhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen TumAur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen TumTum Ek Gorakh Dhanda HoJab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood NahiPhir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah KarnaTum Ek Gorakh Dhanda HoHarm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan TeraDo Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan TeraTum Ek Gorakh Dhanda HoJo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho’ay Hoay Ko Kuch Mila HaiNa But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila HaiAdam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya HaiNahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata HaiMein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia HaiNahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda HaiTum Ek Gorakh Dhanda HoHairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia HoHaath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda HoTum Ek Gorakh Dhanda HoAqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker HoaJo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker HoaTum Ek Gorakh Dhanda HoFalsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta NahiDour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta NahiTum Ek Gorakh Dhanda HoPata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan ApnaTa’ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil MeinTum Ek Gorakh Dhanda HoJab K Tujh Bin Nahi Koi MaujoodPhir Yeah Hangama Ay Khuda Kia HaiTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Page 4: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho TumDair O Haram K Jhagray Mita’tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To TumHairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama’ay Ho Kiss Tarah, Haan’la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To TumYeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata’tay Nahi To TumTum Ek Gorakh Dhanda HoDil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha HaiKuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha HaiRooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha HaiDay K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha HaiKar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha HaiLa-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha HaiYeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha HaiJurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi’aar Bhi Kia Rakha HaiDai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha HaiApni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha HaiTum Ek Gorakh Dhanda HoNit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay HoKabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay HoZindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay HoKhuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay HoNalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay HoChahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay HoDay Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay HoJazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay HoKhud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay HoApni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith’ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay HoKoi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay HoJustujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay HoJot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay HoSohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay HoKhudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay HoTum Ek Gorakh Dhanda HoAap Hi Apna Pardah HoTum Ek Gorakh Dhanda HoJo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila SaChup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka NawasaKiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha PiyasaDushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara SaHer Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na DilasaKal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein HikasaYeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi ShanasaTum Ek Gorakh Dhanda HoHairat Ki Ik Dunya HoTum Ek Gorakh Dhanda HoHar Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi MaloomTumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi MaloomTum Ek Gorakh Dhanda Ho

Page 5: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

Dil Say Armaan Jo Nikal Ja’ay To Jugnu Ho Ja’ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa’ay To Aanso Ho Ja’ayJa Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja’ayBaalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja’ayTum Ek Gorakh Dhanda HoKiss Qadar Beniyaaz Ho Tum BhiDaastan E Niyaaz Ho Tum BhiTum Ek Gorakh Dhanda Ho…Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban DaikhoonBana Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan DaikhoonAik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan DaikhoonKahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan DaikhonKahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan DaikhoonKhoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan DaikhoonDin Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan DaikhonKahin Murjha’ay Howe Phool Hein Sach’chaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban DaikhonShams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan DaikhoonRaat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia HaiMein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya HaiTum Ek Gorakh Dhanda HoDaikhnay Wala Tujhay Kia DekhtaTu Nai Her Rung Say Pardah KiaTum Ek Gorakh Dhanda HoMasjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh ManaySub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh ManayIk Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail HaiIk Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta HaiHein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh ManaySub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam KeTum Ek Gorakh Dhanda HoDair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe TuJiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe TuTum Ek Gorakh Dhanda HoHer Ik Rung Mein Yakta HoHer Ik Rung Mein Yakta HoTum Ek Gorakh Dhanda HoMarkaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar SuHu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot KhoobaruArsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-AarzoAankh Nay Ker Lia Aanso’on Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik SabuAao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari GuftaguNaaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka LahoAllah Hu Allah Hu Allah Hu Allah HuAllah Hu Allah Hu Allah Hu Allah HuEnglish Translation:-You Are A Puzzle:Sometimes I looked for you here, and some times thereTo have your sight I’ve been ruined and I’ve everywhereThe dear ones vanished, but No one got a lead to youYou are not, yet you are at every place,You are a puzzleWith what splendour you can be seen in every speckBut the mind is puzzled what you look like and what you areYou are a puzzle

Page 6: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

I looked for you in the houses of worship, but couldn’t find youYet I found you residing in my heart,You are a puzzleI couldn’t find you anywhereBut the spectacle is that You are there, where we areYou are a puzzleIf there is none but youThen I cannot understand why veil YourselfYou are a puzzleYou manifest-in the houses of worshipYour light is resplendent in these placesYou are a puzzleHe who is lost in your love, He is rewardedYou could not be found either in a temple or Ka’bahBut you could be found in a broken heartSometimes you are hidden as non-existence and somewhere you appear as existenceIf you are not then why deny?Even the negation confirms your existenceThe one I call my Existence who is that if not you?If you didn’t come in my thoughtsThen how did I learn you are God?You are a puzzleWhat puzzles me is who and what are YouYou’re an idol when You come by and if not then You are GodYou are a puzzleHow did the one who entered wisdom could become Everlasting? How did one who comes into mind’s grasp become GodThe philosopher doesn’t find God in an argumentHe is trying to untangle the cord but cannot find the topYou tell all You are homelessBut surprisingly You dwell in a broken heartYou are a puzzleIf there is none but You 0 God,Then what is all this commotion about?You are a puzzleYou don’t hide, You don’t show YourselfYou show the manifestation but don’t show YourselfYou don’t remove the conflicts of the manner of worshipYou don’t reveal the exact thingsI’m surprised how You accommodated in my heart?When the two worlds are not enough for YouYou are in the houses of worshipYou are faithless for not showing Your countenanceYou are a puzzleThe puzzle taken strange possession of my heartA confused picture it’s drawn within itI do not understand what all this puzzle isWhat is this game You’ve been playing since the beginning of timeYou made the soul the prisoner of the body’s cage and then put the guard of death on itYou make the bird of contrivance fly ‘ yet you’ve spread the net of fate everywhereFor years you adorned the world and hereafter yet you have also made the plan of destructionThough you claim to be homelessYet you preached about home, kith and kinThis is bad, this good, this is hell, this is heavenPlease tell me what is in this perplexity?For Adam’s crime you punish his childrenIs that the standard of your justice?By giving the earthly vicegerency to the man,You have made it into a spectacleFor Your own recognition you created allBut you hide yourself from allYou are a puzzleYou draw and erase yourselfI don’t know which crime of desire you punish usSometimes you’ll turn a pebble into a diamondOther times you’ll turn a diamond into dustThe one who revived many dead

Page 7: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

You made him to adorn the crucifixThe one that longed to have your sight on the Mount SinaiYou reduced the Mount to ashes with the Lightning of your ManifestationYou wished Abraham to be thrown into Nimrud’s FireThen you turned that fire into flowers yourselfSometimes you throw a Canaanite into the well of CanaanitesAnd then deprive Jacob of his sightYou make Joseph to be put into the slave-mart of EgyptAnd then you also make him the king of EgyptWhen someone reaches to the destination of higher spiritualityYou make him to voice: I’m the TruthThen allow the verdicts of infidelity against HimYou send yourself Mansoor to the crucifixOne day he too loses his lifeWhom You make to see Your sightIf a Ranjha goes in Your questYou make him in the charity of JhangIf some Majnun goes in Your questYou make him a beloved of some LailaIf Your love awakens in Sassi’s heartYou scorch her in a burning desertIf Sohni imagined you as her MahinvalYou drowned her into the ragging currentsYou do as You wish by summoning to the HeavenAnd in a single night You can make the Prophet’s Accession to HeavenYou are a puzzleYou’re Your VeilYou are a puzzleI accept what I say You mind it a littleBut still I’ve a little complaint to makeYou sat quiet on your Throne and watched Muhammad’s grandson the scorching desert of KarbalaHow he was giving his blood for Your Love though he was thirsty for three daysHis enemies were after all enemies, but it’s sad even you didn’t provide him with a little WaterEvery favour of oppression is the inheritance of the oppressorBut the oppressed is neither consoled nor comfortedYesterday he who had a crown on his headToday I see him with a begging bowlWhat is this? If I ask, your answer isThat no one can get acquainted with this secretYou are a puzzleYou are a world of astonishmentYou are a puzzleYou are Omnipresent but I do not know whereI have heard your name but I do not know your locationYou are a puzzleOnce the heart’s wish is fulfilled it glowsAnd when eyes are gratified they are filled With tearsWhen a person is lost in spiritual loveHe is elevated and becomes like Bahu the poetNo one comes to harm under a daggerBut the arrow in an infant’s throat becomes the scale of justiceYou are a puzzleHow carefree you are.A long story you areYou are a puzzleInquiring about you cause confusion at Every stepI see discord between the circumstances and IdeasI become a picture of distressWhenever I see in the mirror of the worldI see so many contradictions in a single eyeI see one place divided into so many partsSomewhere I see the autumnal smoke of hardship and somewhere I see the monsoon showers of blessingHere I see hissing rivers and there silent MountainsHere I see a forest, there I see a desert and somewhere else I see a gardenThis style of division writhes meI see some rich and some poor here

Page 8: Tum Aik Gorakh Dhanda Ho

In Day’s share, I see only one sun shinningWhile the night is bedecked with millions of starsHere I see the withered flowers of truthThere I see the thorns of lies abloomSomewhere I see Shamas skinned aliveSomewhere I see Sarmad’s head severedWhat is night? What is morning?What is light? What is darkness?After all I’m also your deputy, why You say “what is yours?”You are a puzzleWhat would a person see of you?You are veiled in every wayYou are a puzzleThese mosques, temples and tavernsSome believe in this and some believe in thatAll are your abodes dear,Some believe in this and some believe in thatWe are convinced of your OnenessSomeone leans towards negationBut You know the truthSomeone believes in this and someone believes in thatOne includes him with the creationThe other stays aloof from allBoth are Your devoteesSome believe in this and some believe in thatIf all are the devotees of your nameThen why the conflict of your names?You are a puzzleYou are in every house of worshipYou are in both the worlds wherever one isYou are there for himIn everywhere You are UniqueYou are a puzzleYou are the centre of our quest, the world of colour and scentYou manifest all the time, You are OmnipresentIn Bahu’s surrounds there is only YouYou are the beloved, very HandsomeYou are the Glory and Honour of the HeavensYou are the gain of longings of the two worldsYou gave eyes and makes us perform ablution with the tearsNow give us a flask of your manifestationCome out of the veil before meFor a short meeting and a conversationNaaz will tell his beads place to place, street to streetAllah is one, He has no partnerAllahu, Allahu, Allahu………………….