Urdu Elements Definiation

download Urdu Elements Definiation

of 5

Transcript of Urdu Elements Definiation

  • 7/27/2019 Urdu Elements Definiation

    1/5

    ''

    6. Mubaligha

  • 7/27/2019 Urdu Elements Definiation

    2/5

    Ksi baat ko is qadar berha cherha kr bayan kerna k wo haqeeqat se door

    maaloom ho.jesay

    " Ik sub aag, ik sub paani,

    Deeda o dil azaab hain dono"

    Aur

    " Mataa e loh o qalam chin gai to kia gham

    K khoon e dil me dbo li hai ungliyam me nay

    Zubaan me mohr lagi to kia gham k rakh di hai

    Her ik halqa e zanjeer me zubaan me nay"

    7. Tashbeeh

    Ksi mushtarka sift, khoobi ya khami ki wja se ksi ek shay ko doosri ki

    manind qarar dena jb k doosri shay me wo sift ziada darjay ki ho.

    "Nazki us k lab ki kia kahye

    Pankhri ik gulaab ki c hai"

    8. Istiaara

    Jab ksi lafz ko us k haqeeqi maani ki bjaye us k majazi maani me istemaal

    kia jay, jb k dono me tashbeeh ka taluq ho. Yaani mushtarka sifat ki

    bunyaad per ek shay ko doosri shay qarar day dena. Jesay

    "Wo bhi kia din thay k hum roz mila kertay thay

    Raat bher chaand k humraah phira kertay thay"

    9. Shair

    Hum wazan aur hum behr 2 baa maani misron ka majmooa sher kehlata hai.

    10. Baiat

    Esa sher jis k dono misray hum qafia ya hum qafia o hum radeef hon.

  • 7/27/2019 Urdu Elements Definiation

    3/5

    11. Mirsrah

    Ksi makhsoos wazan aur behr me sher ka ek juzv (line). 2 misray mil ker ek

    sher bnaatay hain.

    12. Ghazal

    Shairi ki esi sanf jis ka ashaar hum qafiya hn, aur her sher ek mukammal

    ikai ho aur mukhtalif mazmoon ka hamil ho. ( Taahim esi ghazal jis k tmam

    ashaar ek hi mazoo ko bayaan kren "ghazl e musalsal" kehlati hai.

    13. Nazam

    Shairi ki esi sanf jis k tmaam ashaar ek hi mozoo per hn.

    14. Sehal Mumtanah

    Ksi boht bray takhayul k mafhoom ko saada aur mukhtasir tareen andaz me

    bayaan kerna. Jesay

    "Tum meray paas hotay ho goya

    Jab koi doosra nhi hota."

    15. Tajahil aarifana

    Jaantay boojhtay hoay b be niyazi se kaam lena.

    16. Musaddis

    Esi nazm jo 6,6 misro'n k kai bnd per mushtamil ho.

    19. Laf-o-nashar

    Pehlay misray me mafhoom malfoof kr k (chupa k) doosray misray me usay

    nashr kr dena(khol dena)

  • 7/27/2019 Urdu Elements Definiation

    4/5

    "Ye jafay e gham ka chara, wo nijaat e dil ka aalam,

    Tera husn dast e eesa, teri yaad roo e Maryam."

    " Ik sub aag, ik sub paani,

    Deeda o dil azaab hain dono"

    20. Abhaam

    Jis me koi shak o shuba ho.

    21. Tajnees

    kalaam me 2 esay alfaaz ka ek saath aana jo dekhnay me ek jesay lakin

    maani me mukhtalif hon.

    "Zouq ka diwaan zauq se dekho tou zuban sanwar jaye"

    "Choron ga me na us butt e kaafir ka poojna

    Choray na khalq go mujhay kaafir kahay bgher"

    22. Maraat-ul-Nazeer

    Esay alfaaz ka ikathay aana jo ek hi mazmoon se taaluq rakhtay hon. (jin

    me bahmi mumaslat aur munasbat ho)

    "Waye nadani k tu mohtaaj e saaqi ho gaya

    May tu, meena b tu, saaqi bi tu, mehfil b tu"

    23. Hasnay Taleel ( It is Husn e Taleel)

    Ksi baat ki esi khus numa illat ( taleel) aur shairana wja bayan kerna jo

    haqeeqat me asli waja na ho.

    " Meri trah se mehr o mah b hain aawara

    Ksi habeeb ki ye b hain justajoo kertay"

    24. Talmieeh

  • 7/27/2019 Urdu Elements Definiation

    5/5

    Ksi ek lafz ya mukhtasir alfaaz k zareye ksi mashhoor riwayat ya tarekhi

    waqye ki trf ishara kerna.

    "Ibn e Maryam hoa kray koi

    Meray dukh ki dawa kray koi"

    25. Tazaad

    Mukhtalif aur mutazaad alfaaz o maani ka ek sath aana.

    " Ik sub aag, ik sub paani,

    Deeda o dil azaab hain dono"

    26. Manqulah

    Jisay ksi se naqal ( rivayat) kia gaya ho.

    30. Hasnay takraar ( Husn e Takraar)

    Ek hi lfz ya tarkeeb ka baar baar istimaal.

    " Aati hai baat baat mujhay yaad baar baar

    Kehta hon daurr daur k qasid se raah me"

    33. Majaaz marsal( Mursal)

    Wo lafz jis k majaazi maani muraad hon. magar haqeeqi aur majaazi maani

    me Tashbeeh ka taluq na ho.

    " Jis sar ko ghroor aaj hai yaan taaj wari ka

    Kal us pe yahen shor hai phir nooha gari ka"