bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi...

35
bozdar.com Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi tumhin the badle hue ya meri nigahen thin tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai tumhare ohad ki denen tumhen mubarak so tum ne mera swagat usi tarah se kiya jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai takallufan mere nazdik a k baith gaye phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai ujar rat ki tanhai kya qayamat hai shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr rawayatan hi sahi koi bat to karte. ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun sab ziden us ki main puri karun har bat sunun ek bache ki tarah se use hansta dekhun mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah ang ang apna usi rut main mahakta dekhun tu meri tarah se yakta hai magar mere habib ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

Transcript of bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi...

Page 1: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi

tumhin the badle hue ya meri nigahen thin

tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye

tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai

tumhare ohad ki denen tumhen mubarak

so tum ne mera swagat usi tarah se kiya

jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai

takallufan mere nazdik a k baith gaye

phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya

kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli

adab par bhi koi do char tabsare faramaye

magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha

kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat

pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai

ujar rat ki tanhai kya qayamat hai

shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai

gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr

rawayatan hi sahi koi bat to karte.

ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun

ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri

bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun

ek bache ki tarah se use hansta dekhun

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah

ang ang apna usi rut main mahakta dekhun

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib

ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

Page 2: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar

khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat

jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun.

Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha,

Main raah dekhti rahi, woh rasta badal geya,

Woh sheher hai ke jadugarniyon ka koi des,Wahan to jo geya kabhi laut kar na aasaka,

Main wajah-e-tark-e-dosti ko sun ke muskurayi to,Woh chaunk utha, ajab nazar se mujh ko dekhne laga,

Bichar ke mujh se, halaq ko aziz ho geya hai tu,Mujhe to jo koi mila, tujhi ko puchta raha,

Woh dilnawaaz lamhe bhi gayi ruton mein aye jab,Main khawb dekhti rahi, woh mujh ko dekhta raha,

Woh jis ki ek pal ki be’rukhi bhi dil ko haar thi,Usey khud apne hath se likha hai, mujhe bhool ja,

Damak raha hai aik chaand se jabee’n pe ab talak,Gurez’paa mohabton ka koi pal theher geya..

Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua,

Barahe’raast mulaqaat ko zamana hua,

Woh sheher chorr ke jaana to kab ka chahta tha,Yeh naukri ka bulawaa to ik bahaana hua,

Page 3: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Khudaa kare teri ankhain hamesha hansti rahain,Yeh aankhain jin ko kabhi dukha ka hausla na hua,

Kinaar-e-sehen chaman sabz bail ke nechey,Woh roz subah ka milna to ab fasaana hua,

Main sochti hoon ke mujh mein kami thi kis shayy ki,Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik mera na hua,

Kisey bulati hain aangan ki champayi shaakhain,Ke woh ab apne naye ghar mein bhi purana hua,

Dhanak ke rang main saari to rang li hain mene,Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise dikhana hua,

Main apne kaano’n main bele ke phool kyon na pehnoon,Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe bulana hua..

Kaisay Chhorain Ose Tanhayi Per ?

Harf Aata Hai Maseehayi Per

Oski Shohrat Bhee Tou Phaili Har SuuPyaar Aanay Laga Sodaayi Per

Theherti Hee Nahin Aankhain Jaanan !Teri Tasweer Ki Zebaayi Per

Rashk Aaya Hai Bohat Husn Ko BheeQaamat-e-Ishq Ki Ra’naayi Per

Sataah Se Dekh Ke Andaazay LagainAankh Jaati Hee Nahi Gehraayi Per

Zikar Aaye Ga Jahan Bhanwaron KaBaat Ho Gi Meri Harjaayi Ki

Khud Ko Khushbuu Ke Hawaalay Kar DainPhool Ki Tarz-e-Paziraayi Per

Page 4: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye

Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye

Chaand Ka Chooma Howa Surkh GulaabTeetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye

Mein Andheron Ko Ujaalon AisayTeergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye

Doush Per Baarishain Le Ke GhoomainMein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye

Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke ChalayShabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye

Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu KoPhool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye

Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar SoyePairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye.

Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa

Magar Ye Dil Teri Jaanib Se Saaf Bhee Na Howa

Taaluqaat Ke Barzakh Mein Hee Rakha MujhkoWo Mere Haq Mein Na Tha Aur Khilaaf Bhee Na Howa

Ajab Tha Jurm-e-Mohabbat Ke Jis Pe Dil Ne MereSaza Bhee Paayi Nahee Aur Maaf Bhee Na Howa

Malaamaton Mein Kahan Saans Le Sakain Ge Wo ?Ke Jin Se Ko-e-Jafa Ka Tawaaf Bhee Na Howa

Ajab Nahee Hai Ke Dil Per Jami Masli KaayiBohat Dinon Se Tou Ye Houz Saaf Bhee Na Howa

Page 5: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Hawa-e-Deher ! Humain Kis Liye Bujhaati Hai ?Humain Tou Tujh Se Kubhi Ikhtilaaf Bhee Na Howa.

Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii

Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii

Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ?Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii

Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur SeNigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii

Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta RahaMai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ?

Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi GaiWo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ?

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai

Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai

Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi FarokhtniNa Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai

Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam HowiKinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai

Page 6: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na ChalayMere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota HaiApne Malbay Pe Kon Sota Hai ????????

Khushbuein Gair Tan Se Aati HaiBaazuoun Mein Mujhe Samota Hai

Mere Dil ! Aansuoun Se Haath UthaKaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai

Shaam Hotay Hee Meri Palkon PerKon Ye Haar Sa Pirota Hai

Raat Ke Bekaraan Andheray MeinKoi Jugnu Ki Neend Sota Hai

Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath

Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ?

Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.nChasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath

Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein TeriJeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath

Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta HowaTajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath

Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh KoDost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath.

Page 7: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga

Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga

Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga

Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti HaiNazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga

Tha, Meri Nazron MeinAzaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga

Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan PerMujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye

Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye

Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-MahtaabDoobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye

Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor HaiMurr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye

Be-Watan Kehlaaye Apne Dais MeinApne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye

Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko MilayDukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye

Page 8: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke HamKhud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye.

Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata

Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chodh Baithi ThiYehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata

Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub TakQaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee.n Nahee Aata

FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar AayeinHar Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata

Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab TakMuqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata.

Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay

Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay

Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki KhabarSheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay

Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher KoTere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay

Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam BhiIntezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay

Page 9: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka KhayaalJin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay.

Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha

Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha

Barf Mein Roshni Ghul Rahee ThiWo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha

Kuch Ajab Roshni Baagh Mein ThiPhool Kis Rung Ka Khil Raha Tha

Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup ThayAb Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha

Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel MeinSheher Bunyaad Se Hil Raha Tha.

Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai

Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai

Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ?Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai

Page 10: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa ThaYe Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ?

Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain HainAur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai

Samjha Ke Abhee Gayi Hain SakhiaanAur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai

Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke TeraMayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai ?

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai,

Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai,

Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kaail,Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai,

Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko ?Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai,

Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota,Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai ?

Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai,Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai…!

Page 11: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Sheher ko teri justaju hai bohat,

In dinon hum pe guftagu hai bohat,

Jab se parvaaz ke shareek miley,Ghar bananey ki aarzoo hai bohat,

Dard reh reh ke sar uthaata hai,Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat,

Kuch tou woh yaad bhi bohat aya,Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat,

Peeney wali aankh hai darkaar,Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat..

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna

Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna

Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein RehnaKhud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna

Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na HoRaas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna

Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari BaabatIkhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna

Page 12: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch LamhayPhool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna

Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha HaiShoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna.

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee

Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee

Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di HogiWo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee

Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee

Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay LagayAbhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee

Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab KeWo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee

Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha,Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha.

Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sakay,Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.

Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh HuiHisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha,

Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Dia,Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha,

Jo Barishon Se Kabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka,Woh Sheher e Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha..

Page 13: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi

Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi

Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi MeinMere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi

Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza RaizaIs Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi

Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm MilayKhushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi

Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee NaheeAb Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?

Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap NaheeDil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi.

Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya

Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya

Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na HowiWo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya

Bohat Azeez Sahee Osko Meri DildaariMagar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya

Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday HainWo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya

Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya ThaJo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya

Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya…!

Page 14: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?

Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had TakItna Hee Tera Karam Bohat Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe GaDehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri RafaqatMujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai

Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Thaa

Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha

Ya Dast-e-Dua Na Uth Saka ThaYa Os Ka Asar Jalaa Howa Tha

Har Ghar Tha Luta Howa Kayi BaarAur Baar-e-Gard Jalaa Howa Tha

Ya Noch Lye Gaye Thay PattayYa Saara Shajar Jalaa Howa Tha

Aankhon Ki Jaga Pe Aablay ThayAur Taar-e-Nazar Jalaa Howa Tha

Page 15: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Malba Tha Tamaam, Sheher-e-KhobiAur Ho Ke Khandar Jalaa Howa Tha.

Teh-Khaana Jaan Mein Tujh Ko Rakhti

Laikin Mera Ghar Jalaa Howa Tha

Kuch Dair Ka Sokhta Na Tha SheherYe Aath Peher Jala Howa Tha

Parwaaz Ka Itna Dar Qafas MeinTota Howa Par Jalaa Howa Tha

Manzil Thi Ghubaar-e-Raah Mein GuumAur Rakht-e-Safar Jalaa Howa Tha.

Khiyaal-o-Khawab Howa Barg-o-Baar Ka Mosam

Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam,

Kai Rotun Se Mere Neem Waa Dareechon MeinTher Giya Hai Tere Intezaar Ka Mosam,

Woh Narm Lehje Mein Kuch To kahe K Laot AayeSamaa`aton Ki Zameen Par Bahaar Ka Mosam,

Payaam Aaya Hai Pher Ek Saro Qamat kaMere Wajood Ko Khenche Hai Daar ka Mosam,

Woh Aag Hai K Meri Poor Poore Jalti HaiMere Badan Ko Mila Hai Chanaar Ka Mosam,

Page 16: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Rafaqaton Kay Nai Khawab Khushnuma Hain MagarGuzar Chuka Hai Tere Etbaar Ka Mosam,

Hawaa Chali To nai Baarishen Bhi Saath AaienZameen Kay Chehre Pe Aaya Hai Nikhaar Ka Mosam,

Woh Mera Naam Liye Jaaye Aur Main Us Ka NaamLahu Mein Goojh Raha Hai Pukaar Ka Mosam,

Qadam Rakhe Meri Khusbu K Ghar Ko Laota AayeKoi Bataaye Mujhe Kowe Yaar Ka Mosam,

Woh Roz Aake Mujeh Apna Piyaar PehnayeNera Garoor Hai Bele Kay Haar Ka Mosam

Tere Tareeq-e-Muhabbat Pe Baar Haa SochaYeh Jabar Tha Kay Tere Ikhtiyaar Ka Mosam.

Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe

Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe,

Bhara Rahe Teri Khushbu Se Tera Sehn-e-ChamanBas Ek Mosam-e-Ambar Fishaan Guzarta Rahe,

Sama`aten Tere Lehje Se Phool Chunti RaheinDilon K Saaz Pe Tu Naghma Khawaan Guzarta Rahe,

Khuda Kare Teri Aankhen Humesha Hansti RahenDiyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch Malaal NahiKaheen Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan Guzarta Rahe,

Main Maangti Hoon Teri ZIndgi Qiyamat TakHawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan Guzarta Rahe,

Mera Sitara Kaheen Toot Kar Bekhar JaayeFalaik Se Tera Khat-e-Kehkashaan Guzarta Rahe,

Main Teri CHaaon Mein Kuch Dair Bayth Loon Aur PherTamaam Raasta Be Saaiebaan Guzarta Rahe,

Page 17: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye Rahe RoshanMere Wajood Se Tu Shola Saan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri Basarat TakNazar Kay Saamne Bass Ek Samaan Guzarta Rahe,

Humaara Naam Kaheen To Likha Howa HogaMah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan Guzarta Rahe,

Main Tera Saath na De Paaon Pher Bhi Tera SafarGulaab-o-Khawab Kay Hi Darmiyaan Guzarta Rahe,

Main Tere Seene Pe Sarr Rakh Kar Waqt Bhool GaiKhiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan Guzarta Rahe.

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?

Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai

Dekhi Hai Meri Udaasi Os NeAur Dekh Ke Muskura Diya Hai

Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya ThaYe Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?

Wo Chaahay Tou Raasta Badal LeMein Ne Tou Dia Jala Dia Hai

Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou MeriTanhaayi Ko Sajaa Dia Hai

Wo Pal Ke Sulagh Uthaa Hai MalboosAur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai.

Page 18: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati

Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati

Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch MauqoofMaangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati

Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon KiShaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati

Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai LaikinHam Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati

Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati.

Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???

Jungul ki hawa rahuun kahan tak ???

Har baar hawa na hogi dar perHar baar magar uthuun kahan tak ???

Dum ghut’ta hai ghar mein hubs wo haiKhushbo ke lye apna raffuu karuun kahan tak ???

Saahil pe samandaron se bach karMein naam tera likhoon kahan tak ???

Tanhaayi ka ek ek lamhaHungaamon se qarz loon kahan tak ???

Page 19: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Gar lams nahee tou lafz hee bhejMein tujh se juda rahuun kahan tak ???

Sukh se bhee tou dosti kubhi hoDukh se hee galay miluun kahan tak ???

Mansoob ho har kiran ksi seApnay hee lye jaluun kahan tak ???

Aanchal mere bhar ke phat rahay hainPhool us ke lye chunuun kahan tak ???

Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeenn Nahee Aata

Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi ThiYehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata

Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub TakQaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata

FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar AayeinHar Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata

Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab TakMuqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata.

Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein

Phir Aaina Dekhne Lagi Mein

Oski Tarah Apna Naam Le KarKhud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein

TU Mere Bagair Na Reh Sakaa TouKub Tere Bagair Jee Saki Mein ???

Page 20: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Aati Rahay Ab Kaheen Se AawaazAb Tou Tere Paas Aagayi Mein

Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein

Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye,

Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye,

Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi,Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye,

Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore,Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye,

Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin,Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye,

Woh dushmani ke bhi kaabil na mujh ko chore ga,Us aadmi se yeh dil dosti tou ka jaye…

Dard phir jaaga,purana zakhm phir taaza hua

fasl e gul kitnay qareeb aaii hai,andaza hua

Subha yuun nikli,sanwar kay jis terha koi dulhanshabnam aawaiza hui,rang e shafaq ghaza hua

Haath meray bhool bethay dastaken dainay ka funband mujh par jab say us kay ghar ka darqaza hua

Rail ki seeti men kesay hijr ki tamheed thius ko rukhsat kar kay ghar loatay to andaza hua

Page 21: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein,

Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi barish mein,

Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla,Hum ne naahiq hi ganwaya usey aarayesh mein,

Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi,Jab talak hu mthey tere qurb ki asaayesh mein,

Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam,Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh mein,

Us ki ankhen bhi meri tarah se girdi kahin aur,Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish mein…

Agar ban mein rehna mukadar hai,

Aur yeh aik teh-shuda amar bhi hai,

Ke har ban mein bas bherriye muntazir hain mere,

Tou yeh sochti hoon,

Ke is soorat-e-haal mein,

Kyon na phir,

Apni marzi ke jungle mein ja basoon.

Page 22: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Kya kya na khawb hijar ke mausam mein kho gaye,

Hum jagte rahe they magar bakht so gaye,

Us ne peyaam bheje to raste mein reh gaye,Hum ne jo khat likhe woh hawaa burd ho gaye,

Mein sheher e gul mein zakham ka chehra kisey dikhaon,Shabnam badast log tou kantey chubho gaye,

Aanchal mein phool le ke kahan ja rahi hoon mein,Jo aney waley log they, woh log to gaye,

Kya janiye ufq ke udhar kya talism hai,Lautey nahin zameen pe ik baar jo gaye,

Jese badan se qos-e-qaza phootne lagi,

Barish ke haath phool ke sab zakhm dho gaye,

Ankhon mein dheere dheerey utar ke puraney gham,Palkon main nanhe nanhe sitarey piro gaye,

Woh bachpney ki need tou ab khawb ho gayi,Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye,

Kya dukh they, kon jaan sake ga, nigar-e-shab,Jo mere aur tere dupatey bhigo gaye..

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga

Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga

Page 23: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae gaKya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga

Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta haiIk jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga

Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liyeMousam e gul mere angan main theher jaae ga

Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe hongeTera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga

Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia warisJurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga.

Aaney wali ruton ke anchal mein

Koi saa’at saeed kya ho gi

Raat ke wakt rang kya pehnoonRoshni ki kuleed kya hogi

Jabke baadal ki aut laazim hoJanti hoon, ke deed kya hogi

Zard mausam ki khushk tehni seKonplon ki umeed kya hogi

Chand ke koi pass bhi sunaney koAb ke koi naweed kya hogi

Gul na hoga to jashne khushbu kyaTum na ho ge tou eid kya hogi.

Nanhi larki,

Sahil ke itne nazdeek,Rait se apna ghar na bana,

Koi sarkash mauj idhar ayi, toTere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,

Page 24: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Aur phir un ki yaad mein tu,Saari umar udaas rahe gi..

Gaye baras ki eid ka din kya acha tha,

chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha

Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thimausam apne rang mein faiz ka missraah tha

Dua ke be-awaz, ulohi lamhon meinwoh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha

Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon meinus ne mujh ko apne Rab se mangaa tha

Phir mere chehre ko haathon mein le kerkitney pyar se mera maatha chooma tha!

Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal sunakya woh apni chat per aj akela tha?

Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss nechand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?

Hoon To Khafa Us SE,

Per Janay Phir B Kiyn…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Page 25: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,Tu MERA Hai,

Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!!

Teri khushbu ka pata karti hai

Mujh pe ehsan hawa karti hai

Shab ki tanhai main ab to aksarGuftagu tujh se raha karti hai

Dil ko us rah pe chalna hi nahinJo mujhe tujh se juda karti hai

Zindagi meri thi lekin ab toTere kahne main raha karti hai

Us ne dekha hi nahin warna ye ankhDil ka ehwal kaha karti hai

Beniyaz-e-kaf-e-dariya angushtRet par nam likha karti hai

Page 26: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Sham parte hi kisi shakhs ki yadKucha-e-jan main sada karti hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi sulukHal jo tera ana??? Karti hai

Dukh hua karta hai kuch aur bayanBat kuch aur hua karti hai

Abr barse to inayat us kiShakh to sirf dua karti hai

Masla jab bhi utha chiragon kaFaisala sirf hawa karti hai.

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

Masla phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayegaKya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta haiEk jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liyeMausam-e-gul mere angan main thahar jayega

Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogiTera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

teri khushbu ka pataa karti hai,

mujh pay ehsaan hawa karti hai,

shab ki tanhai mei ab to aksar,guftagu tujh say raha karti hai,

dil ko us raah pay chalna hee nahi,jo mujhay tujh say juda karti hai,

Page 27: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

zindagi meri thee lekin ab to,teray kehnay mei raha karti hai,

us nay dekha he nahi warna yeh aankh,dil ka ehwaal kaha karti hai,

shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad,koocha e jaan mei sadaa karti hai.

Toti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya

Bajty rahein hawaoon say dar tum ko es sy kya

Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty rahoKat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya

Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhaoMein bhul jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya

Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath adouuTum nay to daal di hai sapar, tum ko es sy kya

Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyeetanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya..!!!

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO..

NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO..

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO..

Page 28: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Bhulanay se jo bhuly na wo kahani chor jaoungi

teri ankhoon me pani ki aisy nami chor jaoungi

lipat kar dair tak dar-o-dewar roye gymain aisi sog me lipti jwani chor jaoungi

mitao gy kahan thak tum meri batan meri yadanmain har ik mor per apni nishani chor jaoungi

mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi dain gaymain chup ho kay bhi lehje ki rawani chor jaoun gi

kuch is tarhan se niklon gi is dunya ko thukra karmain dushman kay bhi chehry par herani chor jaoungi …!!!

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay

Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lenaMosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lenaAadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lenaAwaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karnaJaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay.

Page 29: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum

Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Hum,

Jab Weeran Sabza Zaar Men Ek Phool AagiyaTo kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazaan Daar Howe Hum,

Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai MeraAb Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Hum,

Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na RakhaJis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Hum.

kal halki halki barish thi,

kal sard hawa ka raqs bhi tha,

Kal phool bhi nikhray nikhray the,Kal un main app ka aqs bhi tha,

kal badal gehray kaale the,Kal chand pe laakhon pehre the..

Kuch tukry app ki yaadon ke,Bari dair se dil main thehre the..

Kal yaadien uljhi uljhi thien,Aur kal tak yeh na suljhi thien..

Kal yaad buhat tum aye the?..Kal yaad buhat tum aye the?..

Page 30: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii

main apane haath se us kii dulhan sajauNgii

supurd kar ke use chaaNdanii ke haathonmain apane ghar ke aNdheron ko lauT auNgii

badan ke karb ko vo bhii samajh na payegamain dil men rouuNgii aaNkhon men muskurauNgii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gayemain kis se ruuTh sakuuNgii kise manauNgii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekinmain ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukauNgii

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuudvo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThauNgii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaamain kis kii nazm akele men gun_gunauNgii

javaz DhuuNDh rahaa thaa nayii muhabbat kaavo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jauNgii.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaayeTo wo hamla nahin kerta,

Suna hai jab kisi nadi k paani mainBue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai

To nadi ki ro pehli machhilyaan us koParosi maan leti hain,

Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hainTo Meena apne ghar ko bhool ker

Page 31: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Ka?uve k andon ko paron main thaam leti haiSuna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to

Saara jangle jaag jaata hai.Naddi main baar aa jaaye

Koi Pull toot jaayeTo kisi lakri k takhte per

Gulahri, Saanp, Cheeta aur BakriSaath hote hain.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,Khuda-wanda Jaleel-o Mu?atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,

HUMARE SHAHAR MAIN AB,JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

masla phul ka hai phul kidhar jayega

ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayegakya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirta haiek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liyemausam-e-gul mere angan main thahar jayega

akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogitera ye pyar bhi dariya hai utar jayega.

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

Page 32: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us nebat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas ayabas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahetujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakharuh tak a gai tasir masihai ki

teri khushbu ka pata karti hai

mujh pe ehsan hawa karti hai

shab ki tanhai main ab to aksarguftagu tujh se raha karti hai

dil ko us rah pe chalna hi nahinjo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thi lekin ab totere kahne main raha karti hai

us ne dekha hi nahin warna ye ankhdil ka ehwal kaha karti hai

beniyaz-e-kaf-e-dariya angushtret par nam likha karti hai.

?Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi?!?

?Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi?!?

Page 33: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

?Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par?!??Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi?!?

?Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main?!??Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!

Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!?Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi?

Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz

Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunayein Gay Kisi Roz

Thi Un Ki Zid K Main Jaaoun Un Ko MananeMujh Ko Ye Veham Tha Wo Bulayein Gay Kisi Roz

…Kabi B Maine To Socha B Nahi Tha

Wo Itna Mere Dil Ko Dukhayein Gay Kisi Roz

Har Roz Sheshay Se Yehi Poochta Hoon MainKia Rukh Pe Tabassum Sajayein Gay Kisi Roz

Urney Do In Parindon Ko Azaad Fizaon MeinTumhare Hon Agar To Lout Aayein Gay Kisi Roz

Apne Sitam Ko Dekh Lena Khud Hi Saqi TumZakhum-E-Jigar Tumko Dekhein Gay Kisi Roz.

Page 34: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Gham-e-dauran’ ne bhi seekhey Gham-e-jaana k chalan

wohi sochi hui chalein’ wohi besaKhtapan

wohi iqrar mein inkaar k lakhon’ pehluwohi hon’ton’ pe tabassum wohi abaru pe shikan

kis ko dekhaa hai k pindaar-e-nazar ke baavasafek lamhe ke liye ruk gai dil ki dharkan

kaun si fasl mein is baar mile hein tujh seham ko parvaah-e-gireban’ hey na fikr-e-daman

ab to chubhati hai hava barf ke maidaano kiun dino jism ke ehasas se jalata tha badan.

vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi

hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi

bhala kaha ke ham aise gumaan valey heinhazar baar ham aaye hamein bulaao bhi

bigar chala hai bahut rasm-e-Khud_kushi ka chalanDaraane valo kisi roz kar dikhao bhi

tumhari neend mey Dubi hui aankho ki qasamhamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi.

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Page 35: bozdarbozdar.com/pdf/parveenshakir/Ajib tarz.pdfkuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt

bozdar.com

Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh DiaEk Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh LoTum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi BekhabarJab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar

Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh LoTum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo.