Poem

17

Click here to load reader

Transcript of Poem

Page 1: Poem

“Yeh jabr bhi dekha hai tareekh ki nazron ne Lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza payee”

Sahib-e-imrozi. Wahi hai saahib-e-imroz (today's master) jis ne apni mehnat se

Zamaane ke samundar se nikaala gohar-e-fardaN (tomorrows pearl)Reh guzar

i. Tu abhi reh guzar mein hai qaid-e-makaam se guzarMisar(Egypt)-o-hijaaz se guzar, paares(Paris)-o-shaam se guzar

[It means that don't confine yourself to any one particular place, youare in a proccess/transit of learning and therefore visit different placeswithout desire reward.]

ii. Jis ka amal hai be-gard, us ki jaza kuch aur haiHur-o-khayam se guzar, baadh-o-jaam (wine) se guzar

[One who does deeds without the desire of janat (hur & wine), he will gethigher rewards. Although he will also get both the things, but do thingswithout keeping these points in mind.]

iii. Tera imaam be-huzoor, teri namaaz be-suroorAisi namaz se guzar, aise imam se guzar

Khirdi. Khird (dimaag) ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi

Tera ilaaj nazar ke siwa kuch aur nahi

[This is referred to Allah that our brains have nothing butinformation about you. But if we could see you then all the problemsof believing would be solved.]

ii. Har makam se aage makaam hai teraHayaat zoq-e-safar ke siwa kuch aur nahi

[Always keep travelling in search of new goals because life is nothingbut a pleasurous journey.]

iii. GiraN baha (costly price) hai to hifz-e-khudi (preservation of self) se hai warnaGohar mein aab-e-gohar ke siwa kuch aur nahi

[A pearl is just a drop of water which has preserved itself in a shell.It is because of this preservation ability that it is so costly or elseit is just a drop of water. It implies that one should guard his khudito become valuable in the sight of others.]

Kazai. Teri dua se kaza to badal nahi sakti

Magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye.

[Although you can not change your destiny, you can change yourself.]ii. Teri dua hai ke ho teri aarzoo poori

Meri dua hai teri aarzoo badal jaaye.

Page 2: Poem

Musalmaani. Hum mashriq ke musalmaano ka dil maghrib mein jaa atka hai

Waha kuntar (glass) sab billori (crystal) hai, yaha ek puraana matka haiii. Is daur mein sab mit jaayenge, haN baaqi woh reh jaayega

Jo qaayam apni raah pe hai, aur pakka apni hut (maqsad) ka haiiii. Ay! Sheikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-baseerat (witnessers) kehte hai

GardoN (storms) ne kitni bulandi se un qaumo ko de patka hai.

[People have witnessed the doom of great empires, kingdoms and kings. So thosecountries who are off track are bound to face annihilation.]

Directed to Allahi. Ghaisoo-e-taabdaar (lustrous hair) ko aur bhi taabdaar (lustrous) kar

Hosh-o-khird shikar kar qalb-o-nazar shikar kar.

[Its implied meaning is that Allah make your signs more & more powerful.Make my mind & heart your captive such that they are used only for your purpose.]

ii. Ishq bhi ho hijaab mein husn bhi ho hijaab meinYa tu khud aashkaar (visible) ho ya mujh ko aashkar kar

[My origination is also unseen (unknown) and you are also unseen.Either you make yourself visible or make my purpose of origination clear.]

iii. Baag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyonKaar-e-jahaaN daraz hai ab mera intezaar kar

[Why did you ask me to leave the garden of paradise. Now, I am so busy with theactivities of this world, that I am not willing to come back to you.]

iv. Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amalAap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

[When my book of deeds is bought in the open on the day of judgement, it will bringshame to both you and me.]

Bahaarai. Mumkin hai ke tu jisko samajhta hai bahaara

AuroN ki nigaaho mein ho mausam woh khizaaN kaii. Shayad ke zamiN hai woh kisi aur jahaN ki

Tu jisko samajhta hai falak apne jahaN kaMohabbat ka junoon

i. Mohabbat ka junoon baki nahi haiMusalmaano mein khoon baki nahi hai

ii. SafeN kaj, dil pareshan, sajda bezookKe jazba-e-androoN baki nahi hai

iii. RagoN mein lahu baki nahi haiWoh dil, woh aawaaz baki nahi hai

iv. Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-hajYeh sab baki hai tu baki nahi hai

Page 3: Poem

Ishq ke imtihaani. Sitaro se aage jahaan aur bhi hai

Abhi ishk ke imtihaan aur bhi haiii. Tahi (only yours) zindagi se nahi yeh fizaae

Yaha saikdooN kaarvaaN aur bhi haiiii. Kina'at (contentment) na kar aalam-e-rang-o-bu par

Chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi haiiv. Agar kho gaya ek nasheman to kya gham

Makaamat-e-aah-o-fagaaN (weeping and crying) aur bhi haiv. Tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera

Tere saamne aasmaaN aur bhi haivi. Isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaa

Ke tere zamaano-o-makaaN (destinations) aur bhi haivii. Gaye din ki tanha tha mein anjuman mein

Yaha ab mere razdaan (confidantes) aur bhi haiNukta-e-sulaiman

i. Hai yaad mujhe nukta-e-sulaiman-e-khush ahangDunya nahi mardaan-e-jafakash ke liye tang

[I still remember the words of Suleman, the (man) with good voicethat "the world is not small for a hardworking person", he can get workanywhere.]

ii. Cheetah ka jigar chahiye shaheen ka tajassusJee sakta hai be-roshni daanish-o-farhang

[You need the housla (courage) of a cheetah and good research like thefalcon. (The falcon sees its prey on land far-away from the sky, becauseof its research/finding/study of the land). And if u have these two qualitiesthen you can survive (live) without the light of intelligence and understanding.]

iii. Kar bulbul-o-taoos ki takhleed se taubaBulbul fakat awaaz hai, taoos fakat rang

[Do not imitate the bulbul or the peacock. As bulbul has nothing but good voice, and peacock has nothing but good color. Yyour inner self is more important.]

Kaafir aur Musalmaani. Pooch us se ke maqbool hai fitrat ki gavaahi

Tu saahib-e-manzil hai ke bhatka huwa rahiii. Kaafir hai musalmaaN to na shahi na fakiri

Momin hai to karta hai fakiri mein bhi shahiiii. Kaafir hai to shamseer (sword) pe karta hai bharosa

Momin hai to be-tegh (sword) bhi ladta hai sipaahiiv. Kaafir hai to taab-e-taqdeer musalmaaN

Momin hai to woh aap hai taqdeer-e-ilaahiDil

Page 4: Poem

i. Dil zinda-o-bedaar (alert) agar ho to ba-tadreej (gradually) Bande ko ata karta hai chashme-nigraaN (way to look) aur

[If your heart is alive and alert then gradually Allah gives his bandadifferent ways (perspective) to look at things.]

ii. Alfaz-o-maani mein tafawat (difference) nahi lekinMullah (religious person) ki azaaN aur, mujaahid (holy warrior) ki azaaN aur

[The mullah and the mujaahid both utter the same words Allah-O-Akbar,but there is a difference in the forcefulness of each.]

iii. Parwaaz hai dono ki isi ek fizaaN meinKarghaz (vulture) ka jahaN aur hai, shaheen (falcon) ka jahaaN aur

[The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have differentways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is moremajestic and awesome.]

Maikhaanei. Bahut dekhe hai maine mashriq-o-maghrib ke maikhaane

Yaha saqi nahi paida, wahaN be-zook (tasteless) hai sehba (wine)

[I have visited numerous wine-houses in the east as well as west.Here I find no saqi and there the wine has no taste.]

ii. Na iraN mein rahe baaki, na turaaN mein rahe baakiWoh bande fikr tha jin ka hilaak qaisar-o-kasra

[Neither in Iran nor in Turkey there remains the like of those who couldconquer the two thrones (qaisar-o-kasra)]

On Muslimsi. Sar shak(tears)-e-chashm(eyes)-e-muslim mein hai nesaaN ka asar paida

Khalilullah (Moses) ke darya mein hoNga phir gohar (pearl) paida

[Iqbal says, I see the tears in the eyes of muslims which shows thatthey are begining to realise themselves. The magnitude of tears are compared to nesaaN (month of rain).]

ii. Agar usmaaniyoo (Turks) par koh-e-gham toota to kya gham haiKe khoon-e-sad hazaar anjum (stars) se hoti hai sehr paida

[Usmaaniyoo are the turks who were very strong at one time. In Urdu it isreferred to as the Daur-e-Usmaaniyaa, in English, the Great Ottoman Empire.Iqbal says, so what if they were defeated. The day breaks only after the deathof a hundred-thousand stars (ie. after the passing away of the night).]

iii. Hazaaro saal nargis (a flower) apni benoori (blindness) pe roti haiBadi mushkil se hota hai chaman mein deeda-e-war (intellectual) paida

[Nargis is a name of a white flower, which has the shape of an eye.So, although it has the shape of an eye, it does not have vision, therefore

Page 5: Poem

it is called benoori. But the sheyr, just means that it really takes a longlong time, only after which one deeda-war (intellectual, gehri nazar rakhne-wala,daana) is born.]

iv. Noha (sorrow) paida ho, ae! bulbul, ke ho tere tarannum (melody) seKabootar ke tan-e-nazuk (weak body) mein shaheeN ka jigar paida

[Here Iqbal is refering to himself, as a bulbul, and is saying thatIqbal brings so much sorrow in his shairs, that even a weak pigeon getsthe daring of a falcon. (It refers to weak muslims)]

Majnu ne shahr choda haii. Majnu ne shahr chhoda hai sahra bhi chhod de

Nazaare ki hawas ho to Laila bhi chhod deMajnu has renounced the world, let him renounce the wilds tooIf he seeks the vision sublime (God), let him forsake Laila too

ii. Waaiz kamaal-e-tarq se milti hai yaaN muraadDuniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod deComplete self surrender, priest, is the price of the goalAbandon too the world to come (Uqba), not this world alone

iii. Taqlid ki rawish se to behtar hai khud kashiRasta bhi dhoondh, Khizr ka sauda bhi chhod deSuicide is better than servile imitation,Go, find your own path, look not for a Khizr[Khizr is a person referred to in the Quran, who was highlyknowledgeable (even more knowledgeable than the prophets who livedduring his times), and who also lived an extraordinarily long life.]

iv. Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chalIs bagh mein qayaam ka sauda bhi chhod deWeep like dew over the flowers then quit the groveGive up the idle dream of a permanent stay

v. Saudaagri nahin, yeh ibaadat Khuda ki haiAi be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod deIt's not dealing, but it is worship divineEschew, ye ignorant, even the hope of reward

vi. Achha hai dil ke saath rahe pasbaan-e-aqlLekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod deGood, if reasoning of the mind controls the heartBut let it (heart) have it's own way, once in a while

vii. Jeena woh kya hai jo ho nafas-e-ghair par madaarShohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de'Tis no life that sustains/depends itself on othersGive up dependence on life of earthly fame

viii. Waiz sabut laae koi mai ke jawaaz meinIqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhod deShould the priest produce evidence against the wineIqbal too will pledge to give up drinking

Nukta-e-tawheed

Page 6: Poem

i. BayaaN mein nukta-e-tawheed aa to sakta haiTere dimaag mein but khaana ho to kya kahiye

[You can speak of tawheed (belief in the unity of God), but what to sayabout the shirk (setting up partners in worship with God) that you have at the back of ur mind.]

ii. Makam-e-fakr (darwaish) hai kitna buland shaheen (royalness) seRavish (attitude) kisi ki gadaayana (katoora) ho to kya kahiye

[The position of a fakir, darwaish is higher than that of a king. But, what to say about a fakir who has taken up the attitude of asking for money.]

Parinde ki faryaadi. Aata hai yaad mujhko guzraa huwa zamaana

Woh baag ki bahaare woh sab ka chechahanaii. Azaadiyaa kaha woh ab apne ghosle ki

Apni khushi se aana, apni khusi se jaanaiii. Lagti hao chot dil par, aata hai yaad jis dam

Shabnam ke aasuoo par kaliyoo ka muskuraanaiv. Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si murat

Aabad jis ke dam se tha mera aashiyaanav. Aati nahi sadaayee us ki mere kafas (cage) mein

Hoti meri rihaahi ay kaash mere bas meinvi. Kya bad-naseeb hoo mein ghar ko taras raha hoon

Saathi to hai watan mein, mein kaid mein pada hoonvii. Aayi bahaar, kaliya phoolo ki has rahi hai

Mein is andhere ghar mein kismat ko ro raha hoonviii. Is kaid ka ilaahi, dukhda kise sunaoo

Dar hai yahee kafas mein, mein gham se mar na jaoooix. Jab se chaman choota hai yeh haal ho gaya hai

Dil gham ko kha raha hai, gham dil ko kha raha haix. Gaana ise samajh kar khush ho na sunnewale

Dukhe huwee diloo ki faryaad, yeh sada haixi. Azaad mujh ko kar de oh qaid karne wale

Mein bezoobaa hoon qaidi, mujhe chod kar dua le Saaqi

i. Nasha pila ke giraana to sab ko aata haiMaza to jab hai ke girto ko thaam le saaqi

ii. Kahi khaali pyaale hai kahi saaGhar (wine) labaalab haiYeh kya daur hai saaqi, yeh kyaa taqseem (distribution) hai saaqi

Azaad bandei. Tere azaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya

Yaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandiKharadmandoN

i. KharadmandoN (intellectuals) se kya poocho ke mera ibtada (beginning) kya haiKe mein is fiqr mein rehtaa hooN mera intehaa (end) kya hai

Page 7: Poem

ii. Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehleKhuda bande se khud pooche, bataa teri razaa kya hai

Na tu zameeN ke liyei. Na tu zameeN ke liye hai na aasmaaN ke liye

Jahaan hai tere liye tu nahi jahaaN ke liyeii. Nishaane raah dikhaate the jo sitaaroN ko

Taras gaye hai kisi mard-e-raahdaaN ke liyeNasheman

i. Nasheman par nasheman is qadar taamir karta jaaKe bijli girte girte aap khud bezaar ho jaaye

Mohammed se vafai. Ki Mohammed se vafa tune to hum tere hai

Yeh jahaaN cheez hai kya loh-o-qalam tere haiHaqeeqat se khabardar

i. Tu agar apni haqeeqat se khabardaar raheNa siyaah roz rahe phir na siyaahkaar rahe

ii. Gaafil na ho khudi se kar apni paasbaaniShayad kisi haram ka tu bhi hai aashiyaana

i. Dil sauz se khaali hai nigaah paak nahi haiPhir isme ajab kya ke tu bebaak nahi hai

Khudaa kaa Farmaan

uTTho merii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa doKhaak-e-umaraa ke dar-o-diivaar hilaa do[Khaak-e-umaraa = palace of rich people]garmaao Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n sekunjishk-e-phiromaayaa ko shaahii.n se la.Daa do[soz-e-yaqii.n = warmth (passion) of belief/faith][kunjishk-e-phiromaayaa = ; shaahii.n = falcon]sultaanii-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye miTaa do[sultaanii-e-jamahuur = rule of the people][naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)]jis khet se dahaqaa.N ko mayassar nahii.n roziius Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do[dahaqaa.N = farmer; mayassar = available/get][Khoshaa-e-gundam = ear of wheat]kyo.n Khaaliq-o-maKhaluuq me.n haayal rahe.n pardepiiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se haTaa do[Khaaliq = creator; maKhaluuq = creation][piiraan-e-kaliisaa = church officials]mai.n naaKhush-o-bezaar huu.N mar_mar ke silo.n semere liye miTTii kaa haram aur banaa do[mar_mar = marble]tahaziib-e-navii.n kaar_gah-e-shiishaagaraa.N haiaadaab-e-junuu.N shaayar-e-mashriq ko sikhaa do

Page 8: Poem

[tahaziib-e-navii.b = new culture; kaar_gah-e-shiishaagaraa.N = factory of glass makers][shayaar-e-mashriq = poets of the East]

http://freshsmsdaily.blogspot.in/

tu hi nadaan

Andaaz-e-bayaan gar che bohat khoob nahin hai Shayad kay utar jaayay teray dil main meri baat***Toofan kar raha tha mere azm ka twafaur log samjhe ke kashti bhavar mein hai

***Duniya jise kehte hain, bachche ka khilona hai,Haath aaye tho mitti hai,kho jaye tho sona hai.

***Teri ulfath meri veh'shat hi sahi,meri veh'shat teri shoh'rath hi sahi.

***Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin miltha,kahin zamin tho kahin aasman nahin miltha.Tere jahan mein aisa nahin ke pyar nahin,jahan umeed ho uskee ,wahan nahin miltha.

***Hum mashriq kay musalmaanoan ka dil maghrib main jaa atkahai Wahan kuntar sab billori hain yahan aik purana matka hai***Adab magrib bhi hai,adab mashrique bhi hai.Wahan topi utarthi hai..yahan jootha utartha hai.***Ya khuda loag banaaye thay agar pathar kayMeray ehsaas ko sheesha na banaya hota***Moti samajhkar shaane-kareemi ne chun liye,Khathre jo the mere arkhe infe'aal ke.***

Page 9: Poem

Itnay majboor hain hum apni anaa ki khaatirRaiza raiza bhi hooay aur bikhray bhi nahin***Maujuza shaq'qul khamer ka hai Madine se aayan,Maah ne shaq hokar liya hai deen ko aagosh mein.***Meri dua hai kay too umr-e-jawidaan paayeNa teray paas ghum-o-yaas kabhi aayeToo muskuraaya to aihbaab muskuraa uthainTera wujood baharoan ki jaan kehlaaye***Humne maana ke khudaai darde-sar hai,lekin bandagi ,astaghfirullah,yeh darde-sar nahin darde-jigar hai.***Wohee hai zindagi laikin Jigar yeh haal hai apnaKe jaisay zindagi say zindagi kam hotee jaatee hai***Girni thi barqe tajalli humpe na toor pe,dete hain ba'ada zarfe khadaqaar dekh kar.***Aye doast zindagi kay her aik moarrh per sadaaKhushyoan say tera saamna uksur rahaa karay***Hue marke hum jo rusva ,hue kyon na garkhe dariya.Na kabhi janaaza uth'tha ,na kahin mazaar hotha.Yeh na thi hamaari kismet ke wisaale yaar hotha,agar aur jeethe rahthe yahi intezaar hotha.***Bus ke dushwaar hai har kaam ka aasaan hona,aadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona.***Dost gumkhaari mein meri sayi farmayenge kya?zakhm bhar jaane talak nahoon na badh aayenge kya?***Turk-e-talluq ko to bus aik lamhaa chahiyay Laikin mujhay tamaam umr soachna parra***Ab kay hum bichhrray to shaayad kabhi khuaboan main milain Jaisay sookhay hooay phool kitaaboan main milain***Hogai baat purani magar ab soachta hoonAam sa shakhse tha woh us pe dil aaya kaisay***Tu hi nadaan chand kaliyon par khina'ath kar gaya,warna gulshan mein Ilaaje-tangiye-damaan bhi hai!

Page 10: Poem

***Bhari duniya main faqt mujh say nigaahain na churaa Ishq per bus na chalay ga teri daanaai ka***Girthe hai sheh savaar hi maidaan-e-jung mein,woh tifn kya girenge jo ghutnaon ke bal chale.***Teri duaa hai kay ho teri aarzoo pooriMeri dua hai kay teri aarzoo badal jaayay***Ta-umr dhhondta raha manzil main ishq ki Anjaam yeh kay gard-e-safar lay kay aa gaya***Barbaad gulistaan karne ko sirf ek hi ulloo kaafi hai,har shaaq pe ulloo baitha hai ,anjaame-gulistaan kya hoga.***Rahiyay ab aisee jagah chal kar jahan koi na hoHum-sukhan koi na ho aur hum-zabaan koi na ho***Ya rub woh na samjhain hain na samjhain gay meri baatDai aur dil un ko jo na day mujh ko zabaan aur***Mulke-adam mein yaraon kya eid ho rahi hai?Kyon log jaa rahe hain kapde badal badal kar?***Woh baithe hue daman se dete hai ruaa'en ,khuda kare ke hum na kabhi hosh mein aa'en.***Us moarr say shuroo karain phir yeh zindagiHer shai jahan haseen thi hum tum thay ajnabi***Main bhi munh main zabaan rakhta hoon Kash poochho kay muddaa kya hai***Day kay khat munh daikhta hai nama-bur Kuchh to paigham-e-zabani aur hai***Tum bhi achhay thay raqeeb bhi achhay Hum he buray thay humari guzar na hooi***Apnee soorat lagee paraai seeJab kabhi hum nay aaina daikhaTeray jaanay main aur aanay main Hum nay sadyoan ka faasla daikha

Page 11: Poem

Dil kay deewaar-o-dur pay kya daikhaBus teraa naam he likha daikha***Sitam to yeh hai ke woh bhi na bun saka apna Qubool hum nay kiyay jis kay ghum khushee ki tarahKabhi na soacha tah hum nay Qateel us kay liayKaray ga woh bhi sitam hum pay her kisi ki tarah***Shayad kay zameen hai woh kisi aur jahaan ki Tu kis ko samajhta hai falak apnay jahaan ka***Yaad us ki itni khoob nahin Meer baaz aaNadaan phir woh jee say bhulaaya na jaayay ga***Shaayad yeh waqt hum say koi chaal chul gayaRishta wafa ka aur hi rangoan main chul gaya***Bay-shuk meray naseeb pay rukh apna ikhtiaarLaikin meray naseeb main kya hai bataa to dayMain nay yeh kab kaha kay meray haque main ho jawaab Laikin khamoash kyoon hai too koi faisla to dayManzil na day charaagh na day hoasla to dayTinkay ka he sahi magar aasra to day***Hum bhi tasleem ki hoo daalain gayBay-niyaazee teri aadat he sahi***Behtar to hai yehi kay na duniya say dil lagay Per kya karain jo kaam na bay-dillagi challay***Ghalib chhuti sharaab per ab bhi kabhi kabhiPeeta hoon roaz-e-abre shab-e-maahtaab main***Palkain bhi num karoa to zaraa aihtiyaat sayDaanish rafaaqatoan kay woh mausam guzar gayay***Tamaam waastay main aisay toarrh baithha hoonKe jaisay shehr main ab koi aashna he nahin***Taarruf roag ho jaayay to us ko bhoolna behtar Taalluq boajh bun jaayay to us ko toarrhna achha Woh afsaana jisay takmeel tak laana na ho mumkinUsay ik khoobsoorat moarrh day kar chhorrna achha***Laayee hayaat aayay qazaa lai chali chalay Apni khooshi na aayay na apnee khooshi chalay

Page 12: Poem

***Dhoond ujrhay hooay logoan main wafaa kay motiYeh khazanay tujhay mumkin hai kharaaboan main milain***Kum hoan gay is bisaat per hum jaisay bud-khumaar Jo chaal hum chalay so nihaayat buri chalay***Koi meray dil say poochay teray teer-e-neem kush koYeh khalish kahan say hoti jo jigar kay paar hota***Dil he to hai na sang-o-khisht dard say bhur na aayay kyon Roayain gay hum hazaar bar koi hamain rulaayay kyoon***Tum na aayay to kya sahar na hoiHaan magar chaain say basar na hooi***Barrhi mushkil say hum samjhay woh hum ko kya samajhtay hainJo achhay hain woh to her aik ko achha samajhtay hain***Ho mubarak tumhain maghrib ki tehzeeb sanamMain kaisay bhooloon kay mashriq main hooa mera janam***Saadiq hoon apnay qoal ka Ghaalib khuda gawaah Kehta hoon such kay jhhoot ki aadat nahin mujhay***Ilaahi aag lag jaayay is zoaq-e-mohabbat koJalay koi maray koi andhera meri mehfil main

           (http://shaziazamani.tripod.com/sher.htm)

Page 13: Poem

Hazaaron Jawabon Se Acchi Hai Meri Khamoshi, Na Jaane Kitne Sawaalon Ko Aabru Rakhe

"Mana ki teri deed ke kabil nahin hoon main, Mera shauq to dekh, mera intezaar to dekh." (I know that I am not worth your affection, but look at my commitment, my patience )penned by Allama Iqbal

Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahin Hun MainTu Mera Shauq Dekh, Mera Intizar Dekh

zindagi meri faqat teri raza k wasetezindagi meri faqat teri raza k waseteAur jaan dedoo, mere Pyaree khuda tereliyeAe khuda tere liye..bas aee khuda tere liyeMaal aur na chaheye bas Rabb ki Muhabat ChaheyeeLutfe Duniya rah se hat kar mujkoo janat chaheyee..Ajnabi saare jahan se ban javo tere liyee..Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liyeLiye Shahadat ki tamanna dil tadapta hai meraJannato ki Chaaha me bas jee machalta hai meraBaand ke sar pe kafan chal padu tere liyeAe khuda tere liye..bas aee khuda tere liye Guantanamo ke aseero ne pukara hai mujeMASJID-e-Aqsa ke khali safoo ne pikaraa hai mujeeKeh ke labaik ki sada chal padu teri liyeAe khuda tere liye..bas aee khuda tere liyeJAb tera ho khoof dil me too kisi se kya darukhud se to kuch bi nahi bas teri nusrat se ladoonKar k bas tijpe baroosa datte gaya tere liyeAe khuda tere liye..bas aee khuda tere liyeTeri rah me zakhm khana too sa'adat hai merimeri rabb ye zindagi mujko amaanat hai teriNaam par tere lutane chal pada teri liyaAe khuda tere liye..bas aee khuda tere liyeAbb kadam rukne payee isse rahe-e-falah meSar utha kar me ladu jab taq ragoo me hai lahooek ek khawahish ko mai kurban karu teri liyeAe khuda tere liye..bas aee khuda tere liye