Khush they hum tanhayi men, ai dosto khud ke saath dastaar e muflisaan kyon sar per tere, Deekha kya...
Transcript of Khush they hum tanhayi men, ai dosto khud ke saath dastaar e muflisaan kyon sar per tere, Deekha kya...
1.
Manind e darya hai zeest sumundur tak ravaan
Jab talak hai nafas 'sahil', tab talak hai jaan
Kar le tu talaf jo chhahe, nizaam sab maula ka hai
Neela hai neela rahega, ai bande tera aasmaan
Dil kis ka jal raha hai aaj, sulagti naar se pursish kya
Dil nahin to raakh kya hai, tu hi bata, ai dukhaan
Hai hasraton ka majmua, kehte ho jisey insaan tum
Ainey me dekh kar khud ko, hota hai abas pareshaan
Khushamaden kya karneen 'sahil', yaksaan hain jab bande sab
Ghafoor to sabka ek hi hai, sabka woh asl mehrbaan.
2.
Yeh kis ki gali hai, rihaaish yeh kis ki
Hum kyon chale aaye, khwahish yeh kis ki
Mahabat to jazba hai wafa ka, jaanaan
Mahabat men phir aazmaaish yeh kis ki
Takte ho tum maah o anjum ko, phir
Guftagu hum se, sataaish yeh kis ki
Gul, chaman men haseen tha khila hua
Aaj zulfon men gul hai, aaraish yeh kis ki
Shaikh, dastaar e muflisaan kyon sar per tere,
Deekha kya raha hai, numaish yeh kis ki
Subh ta shaam humsafar tha, aaftaab
Ab sitaare hain saath, saazish yeh kis ki
Anjaam hai fana, tujhe fikr kya hai 'sahil'
Daur peeri ka hai, phir kaahish yeh kis ki
3.
Kh-moshi
Sukhan ki baat kyon, jab kh-moshi hai chhayi hui
Dil per, ai 'sahil' mian, aandhi si aayi hui
Naseem na shajar na hi toofaan ki hulchul
Yeh daastaan kis ne yaro, hai qabal sunayi hui
Kabhi aate they gulcheen, gulshan men baaghbaan
Aaj gulsitaan ko kis ne, hai chaadar pehnayi hui
Khabar na thi talaf ki kya, yaaro tumhen koi
Daanistaah kyon hai raah meri, aaj yun sajayi hui
Kar raha hun main bayaan, haqeeqat ko aaj
logo Mere dard ko na samajhna tum, meri duhayi hui
Maana ke raaz hotey hain har dil men , pinhaan
Tumhaare dil men kya hai kaho, baat chhupayi hui
Khush they hum tanhayi men, ai dosto khud ke saath
Juda kyon hum se ab, hamari tanhayi hui
Kabhi tu hi tha mehfil ki raunaq, jaan uski tu
Kyon lagti hai, ai yaar mere, teri shakl satayi hui
Bharam tera chaman men hai, rakhiyo tu sambhaal kar
Fikr nahin hai 'sahil' mujhe , gar ruswayi hui
3.
Imtehaan na lo tum meri aarzoo ka
Main to muntazir hun kisi adoo ka
Maana, jhonke nassem ke hain dilkash
Be hijaab ho jaanan, paas karo tum aabroo ka
Zahn nahin, dil hai zabaan mahabat ki
Fayeda na uthao tum raat ki guftagu ka
Yun shab ko niklogi to maand hoga chaand
Kya hoga batao, phir izhaar e jugnu ka
Dosto, zabt e girya ki na do hidayat mujhe,
Bahen na ashk mere, kya hoga ravaan joo ka
Maqaam tera apna hai, ai khazaan , per
Samjhaun kaise dil ko main, haal rang o boo ka
Manaaun kahan tak aawaara dil ko, main
Yaro batao, kya hoga meri khoo ka
Ai joo e ravaan, tu thahar ja zara
Paas kar, lab per baithe us sukoot joo ka
'Sahil', muntazir tha Iqbal haqeeqat ka, lekin
Gar mil jaaye manzil to kya hoga justaju ka
4.
Jalwa tanhayi ka,
Kabhi yahan bhi baith kar dekh lo
Suno ge tum dil ki sada
Tanhayi men, ai 'sahil' mian
Nahin hota hai insan, khud se juda
Kabhi yahan bhi baith kar dekh ko
Pao ge taskin kamaal ki
Dil baneyga naghma saaz
Kh- moshi se aa kar milo
Dekho nakhra, uska naaz
Paoge taskin kamaal chi
Saara jahan isi men hai
Nahin hai manzil aur koi
Kashti e zeest hai girdaab men
Nahin hai sahil aur koi
Ghazab hai ki yeh tanhayi
Saara jahan isi men hai
5.
Jo dil me aaye 'sahil' wohi kaam kar
Ravaan darya ki ma-nind irqaam kar
Nahin hota hai kuchh bhi bin qasd kabhi
Ai bashar, tu zakhmon ka mo'aafi se iltiyam kar
Junoon ka hona bhi zururi hai saaqi
Tu jaam men doobne ka intezaam kar
Tah khaana to nasheman hai iblees ka
Ai bande, jo karna hai, sar e baam kar
Bhooli hai yeh duniya naam izzat ka
Ai bashar, tu insaan ka ehtiraam kar
Ufuq ko dekh, ghuroob ho chala hai aaftaab
Kaar apne tu musafir, sar anjaam kar
Tafreeq kaisi, khuda to sabka ek hai
Tu har aasitaan per 'sahil', ja salaam kar
6.
Main kuchh bhi nahin, sab khuda ki ata hai
Kitna haseen manzar hai, yeh kaunsi jagah hai
Khwaab iram ke aur firdaus ki tamanna,
Kyon lagta hai kabhi, zindagi tu saza hai
Kab tak rahenge naqsh e pa zameen per
Kya puchhta hai shaikh, sab us ki riza hai
Ik safar hai hayat, saza kya aur kya jaza
Yaro, iik lamha aur, kul zees ik lamha hai
Ya rab, takhleeq hai teri yeh insan nayaab
Tu hi bata farishta kaun aur bala kya hai
Marhala hai zeest, isey qaafila hi samajh
'Sahil', maikadah aaj to kal khaanqah hai
7.
Khandar se guftagu kaisi, jab khud hi be jaan ho
Zinda ho gar dil to phir, guftagu aasaan ho
Be shak be zabaan hai, be hiss nahin hai pathhar
Gar dekh sako tum aansu, to guftagu aasaan ho
Uth te hain valvale be sa saakhtagi se jab
Khamosh hoti hai sada, dard ho ya fughaan ho
Machalte they armaan kabhi, be tabaanah, yaro
Ab rota hai be bas yeh dil, koi to armaan ho
Mat bhoolna tu 'sahil' kabhi, rishta jabal o darya ka
Pathhar agar na roye to, darya kyonkar ravaan ho
8.
Ujaale ki nahin,baat hoti hai andheri raat ki
Haqeeqat se baeed yahan khuraafaat ki
Mere alfaaz kya denge mere honey ki gawahi
Jab zameen khud zaamin hogi, ik roz is baat ki
Muntazir rehti hai zindagi, fana ki sar ta sar
Us aakhiri saans ki, wo zulmat bhari raat ki
Momin ko kyon aate hain khayal kafirana
Saqi,kya yehi asaas hai tere kharabaat ki
Jab zindagi khud karti hai baaten nijaat ki
Koi to samjhao yaro, ehmiyat kaenaat ki
Be mohaba hai itna is daur ka insan
Mat karo mujhse baaten tum mohaabaat ki
Hungama e zeest ne kiye valvale kh-mosh
Kyon karte ho zikr yaro ab lutf e jazbaat ki
Gar paikar e ghazal bana le zindagi ko 'sahil'
Mahsoos na hogi zururat , tujhe qalam o dawaat ki
9.
Aaj yahan kal wahan, yun hi ravaan hai kaarwaan
Phir dekhiye naar ko, aur udta sa uska dhuaan
Saath reh kar waqt bitana, laazim ha ai mir mian
Kisey kahenge thikana, aur kisey varna aashiaan
Khana nashin ko kiya, khana ba dosh tu ne, mir
Manzil jab saraab thi, baandha kyon tu ne paimaan
Chaley jab ghar se saqi, zulmat bhari yeh shaam thi
Tilism mehfil ki samjha, sahar sa kaisa yeh samaan
Dil ke daagh rakh pinhaan, zaalim hai yeh daur bahot
Kisey khabar aur chaak karey, ai bismil, tera yeh damaan
Mohre aur pyaade hain sab, sab ki chaal hai apni
Bisaat e zindagi se behtar, shatranj hai aasaan
Ai wahdaniat ke qaail, yeh zameen bhi to usi ki hai
Jis ja per baitha hai tu 'sahil', wohi hai aasitaan
Takhliqaat usi ki hai, hum nadi woh bahr
Tarsa aur yahood kaun, kaun brahman kaun musalman
8.
Musallat hai insaan, insan per aaj
Doosron ke sar o saamaan per aaj
Maah per daagh zaahiran nahin hain
Ke daagh hain sab, is ke daamaan per aaj
Daulat parasti ka shikaar hai yeh
Jaane kehte hain kaise honhaar hai yeh
Ghulaam ana ka, andaaz kaafirana
Khayaali ghodon per sawaar hai yeh
Isey parwa nahin kisi baat ki bhi
Subh imroz, aayenda raat ki bhi
Sitam raseedah hai hayaat
Isey fikr nahin hai kaaenaat ki bhi
Kaun samjhaayega isey, kaho
Kaun bachaayega isey, kaho
Yeh zeest nahin kaarzaar hai ab
Kaun pehnaayega chaadar, kaho
9.
Ai bashar tu jeena aur marna seekh
Sar jhuka kar chalna seekh
Khuzu se badh kar kuchh nahin hai
Khuda ko yaad karna seekh
Yeh insaan bahot deewaana hai
Vahshat zada yeh zamana hai
Bhej payambar khudaya tu
Gar jahaan ko tujhe bachaana hai
10.
Mahlon me reh kar bhi insan ghareeb hai
Soch 'sahil' yeh baat kitni ajeeb hai,
Khushi to rehti hai zar se koson door
Taskeen, kaun jaane kis ka naseeb hai
Na sitaare falak ke, na chaman ke gul
Asli daulat to yaro sabr o shaqeeb hai
Shaheedon men shaheed to masiha tha
Qurbaani ki misaal to saleeb hai
Dars de koi to isey zabt e sukhan ka
Yaro, phisalti bahot yeh zaalim jeeb hai
Karzaar hai zindagi muqabila karte raho
Fallsafe ke liye to bahot kaafi khateeb hai
Kashti ko sambhaale na khuda, dosto
Jahan ka paasbaan, to maula raqeeb hai
Kyon aate hain khwaab jannat ke baar ha
'Sahil', kya baargaah e khuda, ab qareeb hai
11.
Laakh samjhaya zahn ko, armaan kahan maante hain
Kab ruka hai ravaan darya, hum to itna jaante hain
Kar lo bahas, firasat mando, jahan ki asliat per
Hum takte hain falak ko roz, haqeeqat hum jaante hain
Tu dil fareb hai zindagi, mere dil ka aayena kehta hai
Aur muntazir hai thaka nafas, ajal ka hum maante hain
Kitna gehra hai sumundur, puchhta kyon hai, kashti sawaar
Jab paasbaan hai khuda tera, har toofaan yeh jaante hain
Bita le dost tu zindagi lamha ba lamha, ai 'sahil'
Falsafa hai justaju mafhoom ki, hum khub isey jaante hain.
12.
Kaam, naam aur anjaam, yeh sab tai hai
Sahib kaun, kaun bibi, ghulam bhi tai hai
Mehnat, mushaqat, aaraam tai hai
Kya hai mubaah, kya haraam, bhi tai hai
Kis pesh raft ki baat ho rahi hai, bande
Jab zamin ka haakim aur aasmaan tai hai
Kyon pucchta hai faasila manzil tak ka, raahi
Jab umr teri moiyyan hai, har gaam tai hai
Zindagi to jee, nasheb o faraaz se mil
Baad e marg 'sahil', dawaam bhi tai hai
13.
Dushman na ho to, khud ko dushman bana lo
Tanhayi ko 'sahil' phir anjuman bana lo
Na gul hon na gulshan na baaghbaan koi
Tum apne hi dil men, ik chaman saja lo
Kaenaat ka maalik mahz maula hi hai
Tum aankhon men hi apna, gagan basa lo
Har ja hain khaar, yeh gulsitaan hai kaisa,
Nazar se tum dosto, khaar ko saman bana lo
Na uth sako agar tum, kabhi udaasi se apni
Phir, tabassum se apne hi man ko behla lo
Do dhaara zabaan ko miyaan me rakho
Maahaul ko apne zaufgan bana lo
Ghurbat men rehne walo faramosh na hona
Yeh khaak hai tumhari, is watan ko saja lo
Samet te ho kya kuchh, hayat me tum yaro
Jaana hai haath khaali, ik kafan to bana lo
Anjum to nahin ho yaro, phir chamkoge kaise
Raah zulmat men deekhao, naam raushan kara lo
'Sahil', tarasho tum zahn mem aqdaar puraane
Dushwaar hai jiddat, isey kuhan bana lo
14.
Chaman ka paasbaan hai usi ka baaghbaan
Khaak honge ik din gul o khar, baaghbaan raftgaan
Falak per hain mah o anjum, kal hogi shab e taar
Sunenge phir unhin ki hum, kisi se daastaan
Be niyaaz, be parwa, na waqt paristish ke liye
Ai la abaali insaan, tera ravaiyya hai gurezaan
Kab tak rahega zamin per, ai insan, tu hi bata
Muntazir hai, har lamha, dekh muztarib aasmaan
Kostey ho kyon qismat ko, ai logo, tum hi batao
Zaalim nahin hai waqt maano, wo to ho hai meharban
Jab hogi maghfirat har haal men, ai bashar
Gunaah tasleem kar, gar hai tu na pashemaan
Jab talak na jaanega haeeqat ko tu insaan
Man rahega tera udaas, dil tera giryaan
15.
Kyon chahta hai le jaana tu, fuzool phir apne saath
Is majaaz libaas ka chaak daaman aur iska
Na rukna, ai 'sahil' kahin waqt hi na ruk jaaye
Chalte rehna gaam ba gaam, tu misl e darya, ravaan.
Peeri bhi ik marhala hai zindagi ka, dost
Na sahi jawaani saath, tu nahin hai na rawaan
Abhi to khursheed falak per hai hamsafar wo tera
Kaise hon phir mah o anjum tu hi bata, uryaan
16.
Kamsin wo bahot shaam thi, shab ki wo ghulaam thi
Maikade men tere saqi, raunaq e gulfaam thi
Nahin banega wali tu, insan hai insan hi reh
Qasd kyon ki 'sahil' tu ne, jo aaghaaz se hi na kaam thi
Bhatakte rahey zameen per, be hosh o hawaas hum
Jis shai ki thi justaju bahot, wo taskeen sar e baam thi
Ravaan raha wo mustaqil sumundur tak, darya
Asaas uski pukhta thi, usey tamanna e dawaam thi
Danke bajaaye darogh ne, ja kar gali gali
Kh-mosh rahi be bas sadaqat, wo jo badnaam thi
Khoya sa kyon hai 'sahil' tu, kuch to hamen bata
Kya parwaaz hui hai andaleeb, jo hum kalaam thi
Kis kaam yeh shaan o shaukat, yeh kaakh o gulzaar, yaro
Yaad aati hai aaj bhi, wo tanhayi jo gumnaam thi
Khud hi men wo daur, har taur se mukammal tha
Namkin thi wo zindagi, jo waqt ki na ghulaam thi
Waqt laga hai seekhne men, ai 'sahil' hamen
Mubaah kya tha jahan men, aur kaunsi shai haraam thi
17.
Istehza na karo yaro kahin ro na padun
Behte aansuon ko phir kya shabnam kahoge
Ya jataa te hamdardi unheen ashkon ko phir
Mere zakhmon ka tum ungen marham kahoge
Maano aaye gar chehre per tabassum kabhi
Masarrat kahoge khwah alamat e gham kahoge
Toote huay jaam aur yeh bikhri hui mai
Saqi, isey raunaq e mehfil ya darham kahoge
Pyala jo deekhaye nairangi e aalam ka
Fusoon gar kahoge ya jaam e jam kahoge
Maaney jo baat tumhari har gaam per hamesha
Usey gharazmand kahoge ya humdum kahoge
Roothi hai bulbul jaane hum se kyon 'sahil'
Ab tum bhi nahin, kya hamen sanam kahoge.
18.
Siva rab ke jahan ko kaun sambhaalega
Jo likhi hai usne, usey kaun taalega
Jo himmat na haare toofaanon ke aage
Wo maula ki riza se qismat ko manaa lega
Raushan ho dil men jiske tajalli e khuda
Wo veerani men bhi dil ko, saja lega
Yaad rakhna tum dosto wo paasbaan hai sabka
Khuda momin ko ghaflat se bacha lega
Yaro, kya karni hai mehfil janaaze ke liye
'Sahil', khud ko bhi kaandhon per utha lega
19.
Na daanista ho gunaah, to gunaah nahin hai
Gar dil se na uthe to wo aah nahin hai
Zamin per to hotey hain maah jabeen 'sahil'
Falak per na ho to woh maah nahin hai
Kar daalo gar raakh to kam kam na karo
Sulagti hui naar kabhi tabaah nahin hai
Raasta chuno to soch samajh kar yaro
Pauncchaaye pagdandi, per wo raah nahin hai
Surur to hai saqi, lekin asl nahin hai
Jo nazron se pilaya wo baadah nahin hai
Kya deekhayega hamen tu raasta , ai 'sahil'
Jabke wali bhi to aakhir khuda nahin hai
20.
Kya karunga main le kar yeh dawa, bata
Jab mere marz ka ilaaj, chaaragar,hai dua
Na mila gar silah meri ilteja ko koi
Teri dawa ka hoga , phir hashr kya, bata
Kyon thahra hai bata, kaarwaan, ai mir
Khaanabadosh ki aawaaragi ko hua hai kya
Ravani ki thi jisey kal talak, tamanna
Aaj sumundur ki doori, bani haail hai kya
Badla na dasht o sahra na mah o anjum koi
Mat suna tu kahani, kya hua hai, bata
Khayal tere bhi 'sahil' ajab hain mian
Kabhi na saaz hai tabiyat, kabhi jawani ravaan
21.
Dagmagayen ne qadam imaan se kabhi
Kaash, nikle na haaye zabaan se kabhi
Zamin per bahot hain duahwaarian
Yaro, takrayen na hum aasman se kabhi
Hawas dekhi hai, ai sumundur teri
Ab mila de darya e rawaan se kabhi
Hazaaron se milte hain yaro har roz
Koi to mila do ek insaan se kabhi
Thak gaya hun khudaya tang raahon se main
Deekha de mujhe raah aasaan kabhi
Bhoola hai insaan, libaas apna hi 'sahil'
Deekha de usey, uska chaak daamaan kabhi
22.
Mat karo baaten tum dil ke khaanon ki
Daftar e ulfat hai na kaam armanon ki
Seekh lo yaro aadaab mezbaani ke
Phir, karna baaten tum mehmaani ki
Zikr khizr ka, kabhi ikseer e hyaat ka
Koi shakl to dikhao mujhe jaavidanon ki
Har kuche men ghoomte hain aaj, hosh mand
Yaro, koi to baat karo be ghar deewaanon ki
Jab karti hai raushan hijaab ko qandeel
Ghalati kya hai kaho maasoom parwanon ki
Har lamhe men pinhaan hai ik zindagi
Baaten karte ho dosto tum zamanon ki
Khaar tak nahin, gulon ka kya kehna
Be rehmi dekhiye, haal ke baghbanon ki
Saqi, na rind na jaam na hi mai kahin
Tu puchhta hai kaifiyat maikhaane ki
Usey kya darayega kaho zalzala koi
Jis ke dil men tamanna hai aasmanon ki
Na dikhao usey tevar apne, toofaanon
Jisey aadat ho paiham imtehanon ki
Mah o anjum ki sair aur guftagu falak se
'Sahil', koi to baat karey yahan ke insaanon ki
23.
Dagmagayen ne qadam imaan se kabhi
Kaash, nikle na haaye zabaan se kabhi
Zamin per bahot hain duahwaarian
Yaro, takrayen na hum aasman se kabhi
Hawas dekhi hai, ai sumundur teri
Ab mila de darya e rawaan se kabhi
Hazaaron se milte hain yaro har roz
Koi to mila do ek insaan se kabhi
Thak gaya hun khudaya tang raahon se main
Deekha de mujhe raah aasaan kabhi
Bhoola hai insaan, libaas apna hi 'sahil'
Deekha de usey, uska chaak daamaan kabhi
24.
Jazba e mahabat bhi ik futoor hai
Na jaane kiska yeh zaalim qusoor hai
Husn bhi to teri inayat hai zuroor
Maula, husn ke aage dil majboor hai
Chaman na gesu na bulbul ki sada
Yaad e khuda hi dilon ka suroor hai
Shab hai to mah o anjum ka noor hai
Subh ka aaftaab goya rab ka zuhoor hai
Yeh naaz o nakhra, yeh ishwa tera, ai zeest
Puchha jab maut se, kaha us ne ghuroor hai
Rukhsat hota hai jo jahan se, jaane do
'Sahil', Hangama e janaza bhi kya dastoor hai
25.
Nawa, jaras e shabgeer ki suno
Phir, daastaan raanjhe aur heer ki suno
Andaleeb ka geet, laila majnun ka preet
Phir, ghazal suno to 'Taqi Meer' ki suno
Larzaayen qadam, imaan dagmagaaye
Tatolo zahn ko,aur zameer ki suno
Mashwara deta hai waqt har lamha
Hamsafar hai, us raahgeer ki suno
Paon ki bediyaan bhi deti hain sada
Ai aawaara dil,us zanjeer ki suno
Jo rakhte hain dil men tasawwur khuda ka
Koi to kaho un se, us tasweer ki suno
Ai munsif, maana raub o daab shaikh ka
Kabhi to mujh jaise daamangeer ki suno
Maana ke wali bhi koi maula to nahin
Yaro hai to woh momin, us safeer ki suno
Hairat se tak raha hun, jahan ko main, 'sahil'
Jahan dekho, shor e daar o geer hi suno
26.
Na sunao koi taraane, na sahi
Na ao tum maanane, na sahi
Hum tanha hi baithe acche hain
Na aao dil lagaane na sahi
Yaadon men taaza hai waqt purana
Na sunao koi fasaane, na sahi
So jayenge yaro, rotey huay
Na aao tum sulaane, na sahi
Shaam hogi shab, shab sahar, be shak
Na aao raah dikhlaane, na sahi
Aaftaab humsafar hai har gaam, dosto
Na aao hamen jagaane , na sahi.
Mafhoom zindagi ka kya hai, 'sahil'
Na aaye koi samjhaane, na sahi
27.
Rakhte hain hum bhi nazar dekho kaisi
Ke hogi kal ki sahar dekho kaisi
Yaro, hogi fajr har shab ki, maana
Hogi ubharti magar dekho kaisi
Haseen hon gar rang sahar ke tumhaare
Guzarti hai phir do pahar dekho kaisi
Hum to chale zulmaton men logo
Ab hogi kal ki raahguzar dekho kaisi
Bandagi men basar ki hayat, 'sahil'
Ab maula ki hogi mehr dekho kaisi
28.
Na dair o haram men sukun 'sahil'
Na maikhaane, na rang e mehfil
Kya uth gaya hai chain o aman
Ya is daur ka insaan, hai be dil
Har jagah hai shor o hungama
Na behr ko taskeen, na sahil
Asl bhi hua hai gharq yahan
Har shai hai to bas yun hi baatil
Kahin to hoga koi, 'sahil'
Bashar jo na ho ghaail
Karun phir main usey salaam
Koi banda aisa gar jaaye, mil
29.
Ravaan hai darya, ravaan aaftaab
Kis se guftagu, kaisa khitaab
Misl e toofaan hain valvale
Dil hai so, to bahot be taab
Ravaan hai darya, ravaan aaftaab
Sawaal hain so, to be shumaar
Pursish kis se aur kya jawaab
Fehrist e zahn so khaali hai
Denge kis ko kya hisaab
Ravaab hai darya, ravaan aaftaab
Kabhi ijaara tha yeh sumundur ka
Aaj jidhar dekho hai girdaab
Sukun kya paayega, aii bande tu
Jab asl se door hain tere, khwaab
Ravaan hai darya, ravaan aaftaab
Bismil hain jahan men sab
Daagh liye ghumta hai, maahtaab
Jo chaaho samjho , yaro
Gayi haya, haya hijaab
Ravaan hai darya, ravaan aaftaab.
Soorat nahin, ho seerat haseen
Ho saman ya ho gulaab
'Sahil', kaar hon nek, miley sawaab
Ravaan hai darya, ravaan aaftaab
30.
Darya ka paani sumundur se kam hai
Chalte reh 'sahil' jab tak jaan o dum hai
Jaise suraj ravaan hai subh se shaam tak
Na khushi usey na hi ranj o alam hai
Kabhi to dekh udte huay parindon ko
Ism e zeest hai safar, aur kya lum hai
Parkha hai tere khaanon ko, ai dil
Kahin sukun hai aur kahin gham hai
Ek gul hi kaafi hai, ai vaaiz mujhe
Wohi jannat, wohi mera chaman hai
Dil ki sada kh- moshi hai 'sahil'
Wohi mahabat ka sukhan hai
31.
Shireen hai teri zabaan , maana
Jaanam, chashm qaatil to hai
Koi to sun lo sur mere, yaro
Be sura sahi, lekin dil to hai
Tu hai saaqi, main hun, jaam hai
Na sahi hujum, rang e mehfil to hai
Zakhm sil bhi jaayen to kya hua
Dosto, dil be bas ghaail to hai
Dafn kiya naghmon ko zamaane ne
Shukr hai jhankaar e payal to hai
Na miley manzil na sahi, ya rab
Teri justaju, aarzoo e manzil to hai
Chhord jaaye zeest kabhi , to kya
Humsafar, woh qaza zaalim to hai
Samajhta hai 'sahil' zindagi, khub
Gunaahgaar sahi logo, aalim to hai
32.
Main to bana lun ghamon ka, aashiana magar
Kya kahega yeh zaalim, zamana magar
Aaj chaman ko dekhta hai maayus, baghbaan
Kal bulbul ka naghma tha, suhana magar
Guzaari jis ne raat mah o anjum ko takte
Aashiq tha zurur, tha deewaana magar
Sula de ai lori, dikha de chund khwaab
Mat bhulna aftaab ko jagana, magar
Jaga kar suraj ko, subh ko bulana
Mat bhulna,ai lori, mujhe uthana magar
Bikhar jaata hai wo mahabat men, maana
Zururi hai 'sahil' dil ka lagana, magar
Haseen ho bahot, yun hi aati rehna
Ai, yaado, laazim hai kya satana magar.
33.
Maangi hai zindagi ki dua jis ne meri
Ya rab, usi qaatil ne to li hai jaan meri
Har insaan ki koshish, naqsh e pa hon qaaim
Kisey fursat hai yaro, suney daastaan meri
Kiya karte hain log jo chaahe dil un ka
Kis ne poochhi hai kabhi koi haan meri
Suna de faisla munsif, saza e maut de
Kar de tu zindagi phir aasaan meri
Zabt e sukhan laazimi hai 'sahil', aagaah rehna
Kahin chal na jaaye shamsheer zabaan , meri
34.
Woh aashiq hi kya jo roya na ho
Woh daaman hi kya jo dhoya na ho
Woh gul tumhara nahin hai yaro
Jis ka tukhm bhi tum ne boya na ho
Kaandha na diya to ghamkhwaari kaisi
Woh baar hi kya jo dhoya na ho
Woh paak kya hoga daaman kaho
Jo aab e kauser men ja kar duboya na ho
Khufta rehna bhi ik kamaal hai, 'sahil'
Woh jaagega kya jo soya na ho.
35.
Ghamkhwaar ban kar samjhaane gaye
Afsos! be naqaab dost pehchaane gaye
Shaahk se girta tha patta, saba sahaare
Haif! Woh etimaad ke ab zamaane gaye
Dhun apni men mast, raah apni bana kar
Toofaanon se ladte woh deewaane gaye
Dilon se uth gaya jab yaqeen hi yaro
Phir mandir aur masjid, woh aasitaane gaye
Samajhte they tujhe hum majnoon kabhi
'Sahil', dil waale to dekh aaj veeraane gaye
37.
Khoon gul ka ho ya chaman ka
Lahu tapkege har badan ka
Surkh hoga rang har khaar ka
Har barg o baar o saman ka
Dahshat na dekhi jahan men aisi
Rang, laal muntazar kafan ka
Num chashm hai baaghbaan ki
Tadpega zameer is zaman ka
Kya haal hai 'sahil' tu hi bata
Tere pyaare se is watan ka
Pesh raft ki dhun hai, yaro
Kya kahun is dasht o diman ka
38.
Kya khilenge phool us dasht o diman men
Kya jaagega zameer kabhi insaan ke man men
Kam hogi vahshat kya jahaan men kabhi
Kya hogi kam kaifiyat, dahshat ke fan men
Ai gunahgaar, teri chashm e num suboot hai
Bande, veeraani hai aaj tere chaman men
Maayoos kyon hai, ai bagbaan soch
Gul nahin, khaar ugte hain iblees ke tan men
Aaj bhoola hai bashar khuda ko, 'sahil'
Kotahi hai bahot is ki lagan men
39.
Naseeb apna hai gar is ujde dayaar men
Nahin hai is se zyada kuchh sansaar men
Mehrbaan hai hum per ab khazaan bahot
Batao, ai gulo, kahan they tum bahaar men
Na dil saaf, na aitbaar ainey per koi
Aaj dekhte hain log chehra zangaar men
Aisa jangal bana hai jahan aaj, dosto
Ek doosre ko dhundte hain log shikaar men
Na kisiko taskeen, na hi dil ko aaraam
Doobi baithi hai duniya sab, afkaar men
Kaisi be dardi ka zamana hai, yaro
Sur tak nahin hai payal ki jhankaar men
Lutf be qaraari ka le kar dekh, 'sahil'
Kya rakha hai tere jazba e qaraar men
40.
Daastaan e 'Sahil'
Yaad aate hain ab bhi woh din pech o taab ke
Guzaari theen raaten bin neend o khwaab ke
Andhere they aise har taraf jab mere
Goya, falak bhi dekhta tha khwaab mahtaab ke
Chaman tha per khazaan thi, bahaar ke saraab
Dar ba dar phirte they, liye tassavur gulaab ke
Kaarzaar e hayaat ne diye dars mujhe
Duaen karte jao, muntazir na rehna jawaab ke
Sitara nahin hai tu chamkega kaise
Asl chhord kar na daurna peeche saraab ke
Aaj bhoola hai insan maahiyat aadaab ki
Dhundne men laga hai zariye asbaab ke
Dosto himmat na haara yeh 'sahil' kabhi
Sahil ko toofan kya daraayenge aab ke
41.
Jisey kehta hai tu 'sahil' mera dasht o diman,
Wohi khazan ka khazana hai mera chaman
Behta hai gar aab e kauser kahin,
To mere bhi dar pe hai darya, jaman
Hungama hai itna jahan men aaj yaro,
Baat wohi karo jis men ho kuch vazan
Samajhna tum yaro kaamyaab zindagi
Mil jaaye gar kaandha uthaane ko kafan
'Sahil', zinda hai dil men aur zinda rahega,
Jab tak nafas hai mera hubb e watan
42.
Nahin aati hai jab wafa mujhe
Mat bana jaanam tu khuda mujhe
Sulagta shola hun, bujh jaunga
Mat de tu ab hawa mujhe
Kya fayeda tera, ai zameer bata
Raasti ki raah per chala mujhe
Muztar hai dil, ilaaj mushkil
Ai bulbul, tu hi aa kar sula mujhe
Aftaab ne gar na uthaya kal
Ai qaza, aa kar le ja mujhe
'Sahil', aisa bhi kya faur hai
Tere haq men karni hai dua mujhe
43.
Kya hum na kehte they gham buri bala hai
Yahan kaun kab kis se khushi se mila hai
Jabeen per shikan, baatin men valvale
Jisey dekho sukun nahin, dil men gilah hai
Yaqin nahin hai chaarahgar marham pe teri
Varna, bata paani se kaun kab jala hai
Shak aur shubah haavi hai, yaqeen nadarad
Kabhi kehte they ghar jisey dost, aaj qila hai
Vajah kuch to hogi muztarib maahaul ki
'Sahil', kya kabhi patta bhi bin hawa hila hai
Gar uth bhi jaaye etimaad insaan per kabhi
Yaro, arsh e bareen men sab ka maula hai
44.
Tum ko dekh kar tabiyat kuchh ghabrayi hai
Ai bahaaro, lahd per yeh kaisi aaraayi hai
Usey sair kya karaoge, chaman ki kaho
Jisey khazaan ke libaas se shansaayi hai
Yeh sozish kaisi, naghma e bulbul men aaj
Jaane kis ghata ki ab, woh khabar laayi hai
Shaakh e gul murjhaaye,to num chashm hai maali
Us raunaq e mehfil se behtar, meri tanhayi hai
Yeh dil nahin sahra hai gul kya khilaoge
Jahan gul o khaar men mustaqil ladaayi hai
Shaam ko lutf e jaam, subh ko dair o haram
Naaseh, kya yeh bhi koi paarsaayi hai
Dair o haram na maikhaane se vaasta
Kooche men vaaiz, bata kyon ruswaayi hai
Kaasa ba dast hai fakir, per hai shaadmaan
Yaro, kya hum ne ameeri ki saza paayi hai
Reh jaam o subu o saaqi se door, 'sahil'
Paarsaayi men hi teri bhalaayi hai
45.
Nahin aati hai jab wafa mujhe
Mat bana jaanam tu khuda mujhe
Sulagta shola hun, bujh jaunga
Mat de tu ab hawa mujhe
Kya fayeda tera, ai zameer bata
Raasti ki raah per chala mujhe
Muztar hai dil, ilaaj mushkil
Ai bulbul, tu hi aa kar sula mujhe
Aftaab ne gar na uthaya kal
Ai qaza, aa kar le ja mujhe
'Sahil', aisa bhi kya faur hai
Tere haq men karni hai dua mujhe
46.
Be rukhi dekhiye aaj ke mezbaanon ki
Fikr nahin hai koi unhen mehmaanon ki
Adab se mahroom yeh bashar kidhar jayega
Baat mat kijiye be ehtiraam zabaanon ki
Rahm dil nahin hai zamana aaj ka
Kisey fursat hai soche, wo nazaranon ki
Peer o murshid, sant o fakir, haif!
Yeh nahin to baat kya hai aasitanon ki
Har lamhe men pinhaan hai hayaat kaamil
Baat karte hain log guzre zamanon ki
Khaar tak nahin gulon ka kya kehna
Aaj murawwat dekhiye baaghbaanon ki
Karti hai raushan jab qandeel hijaab ko
Ghalati kya hai kaho,maasoom parwanon ki
Na saqi na rind na khumgaah kahin
Kya puchhte ho dosto, kaifiyat maikhaanon ki
Be baak hai wo insan, ai toofaanon
Jisey aadat ho musalsal imtehaanon ki
Usey kya daraayega zalzala, 'sahil' bata
Tamanna ho jiske dil men aasmaanon ki
47.
Tum ko dekh kar tabiyat kuchh ghabrayi hai
Ai bahaaro, lahd per yeh kaisi aaraayi hai
Usey sair kya karaoge, chaman ki kaho
Jisey khazaan ke libaas se shansaayi hai
Yeh sozish kaisi, naghma e bulbul men aaj
Jaane kis ghata ki ab, woh khabar laayi hai
Shaakh e gul murjhaaye,to num chashm hai maali
Us raunaq e mehfil se behtar, meri tanhayi hai
Yeh dil nahin sahra hai gul kya khilaoge
Jahan gul o khaar men mustaqil ladaayi hai
Shaam ko lutf e jaam, subh ko dair o haram
Naaseh, kya yeh bhi koi paarsaayi hai
Dair o haram na maikhaane se vaasta
Kooche men vaaiz, bata kyon ruswaayi hai
Kaasa ba dast hai fakir, per hai shaadmaan
Yaro, kya hum ne ameeri ki saza paayi hai
Reh jaam o subu o saaqi se door, 'sahil'
Paarsaayi men hi teri bhalaayi hai
48.
Maana ke raunaq bahot hai, rangin hai mehfil
Tanhayi ne bana diya hai, dil mera sang dil
Na uthen gar valvale to kya karega dil
Kya hoga uski dhadkan ko, tu bata, 'sahil'
Waqt si marham nahin, ai chaarahgar samajh
Gehre jitne bhi hon zakhm, ho jaate hain mundamil
Aafaton ka saamna kar ke, ai 'sahil'
Seekh liya hai main ne bhi,rehna khush dil
Masaail to bahot hain, koi to batao hal
Peeri men hai jawaan ab bhi, yeh kambakht dil
49.
Humne maikade men eid manaayi, aaj
Dair o haram men ki ghazal sarayi aaj
Ta' ajub hai ke simoom bhi, yaro
Bhes badal kar milne, hai aayi aaj
Ai baad e saba tu aayi to hai, lekin
Kya tu koi naveed laayi hai aaj
Chalte aaye hain raah apni per hum
Dekhte hain kis mod per qismat laayi hai aaj
Hum samajhte they 'sahil', 'taqi meer' ko shahenshah
Na jaane kis ne hamen, yeh ghazal sunayi hai aaj
50.
Saqi, na sahi na pila tu mai e naab aaj
Yeh bata kyon hai khaali, ma'bad men mehraab, aaj
Aaye they tere dar pe liye umeed hum, saqi
Ke milegi yahan peene ko mai e naab , aaj
Varna, jaate ghar raqeeb ke, soch zara saqi
Milti wahan khul kar hamen sam e sharaab, aaj
Rukhsat hua hai kaarwaan, mud kar to dekh, mir
Dekhenge sahra men, gul o chaman ke khwaab, aaj
Ja chuka hai qaafila, tanha hain chaand sitaare
Tu hai 'sahil', zameen hai, na gilah na sawaab, aaj
Ajab hai kitni baat yeh tanhayi men hai sukun
Kh-mosh hai dekh dil tera, nahin betaab, aaj
Kashti e hayaat bhi ab jhumti hai faza men
Taskeen hai sumundur ko, nahin koi gharqaab, aaj
So lena 'sahil' khwaabon ki baahon men tu aaj
Na dene honge kisi ko, sawalon ke jawaab aaj
51.
Milta hai sukun to inabat men
Maula ki khidmat o ibadat men
Kya rakha hai yaro, tum hi kaho
Aaj ke darham o raqaabat men
Thaam lo haath phir firasat ka
Basar na ho zeest adavat men
Fikr kya karni, aate hain toofaan
Jaanaan, har rishta e mahabat men
Zareefana hai yaro wo hi insan
Jo zeest guzaare zarafat men
Khel qismat ka hai, tum kya karoge
Hanste raho phir shaqaavat men
Aao baharo muntazir hai chaman
Na rahega mustaqil, taravat men
Mubarak ho usko, ai 'sahil' mian
Jisey milti ho taskeen, rafaqat men
52.
Kuchh gharq sa rehta hun main
Kuchh khaali sa rehta hun main
Jaise jaam o subu hain tere, Saqi
Bin mai, tanha sa rehta hun main
Jaam mahabat ka pilaye koi
Mujhe aa kar sulaye koi
Neenden kahan hain kaho meri
Yaro, khwaabon se milaayekoi
Baarish ki boonden kab girengi
Un se aankhen num kab hongi
Tadap zameen ki kab mitegi
Sada bulbul ki kab goonjegi
Sookhe darya men aab kab hoga
Andheron men dosto charaagh kab hoga
Tishnagi bhi zaalim hai 'bahot
'Sahil', yeh dasht o sahra, baagh kab hoga
53.
Kaho yeh kis shai ka bazaar tha
Kaun yahan kis se do chaar tha
Dekha chharaagar ko aaj ghoomte huay
Kaho kaun sa shaikh yaan beemar tha
Dalaal dekhe, dekhe parinde haseen
Kaho kaun kis ka shikaar e bazaar tha
Kabhi chalti thi duniya us raaste per
Raasti ka jo kul rahguzaar tha
Ab bhi hai khushbu, ai yaro, dekho
Kabhi apna bhi aisa gulzaar tha
Aaj guzarte huay chund ashk girey,'Sahil'
Bata, kya woh tera hi ujda mazaar tha
54.
Zinda-dil ghamkhwaar ab nahin hain
Aansuon ke aasar ab nahin hain
Sard dilon se ashk kya tapkenge,
Ke garam woh baazaar ab nahin hain
Sambhal kar chalna, ai musafiro tum
Maujooda raahen hamwaar nahin hain
Tujhe dekhte hain dair o haram men,
Saqi Kya jaam o subu o maikhwaar nahin hain
Neend nahin aati hai raat bhar jinhen
Pareshaan hain dosto, bedaar nahin hain
Mausam e bahaar to hai 'sahil', lekin
Chaman men ab wo gul o khaar nahin hain
55.
Aaye hain maikade hum saqi, ke sar zad ho gham
Pi lenge aaj tu jo pilai, udaas hain bahot hum
Guzregi phir shab taskin se, farda ke lenge khwab
Yaad teri bhi aayegi, jab qareeb hoga sanam
Urooj hua jab aaftab, chamak utha tha falak
Phir, kya hua 'sahil' bata, kyon hai yeh shaam e gham
Na puccho yaro daastaan gham ki, gham to hai balaa
Nuskha batao ravaan rahey, jis se rukta hua dum
Naqsh e pa bana gaye ajdaad bhi tere
Mita diya talatum ne har unka qadam
Likhte reh 'sahil' miaan, bana isey shughal
Chhord baaten gham ki tu, utha le tu qalam
Haath men tere jaam ho, qareeb ho tere sanam
Aur kya rakha hai duniya men, bhool tu jaam e jam
56.
Dhuaan kidhar gaya
Sulagti reh gayi hai naar, dukhaan kidhar gaya
Maah o anjum chhup gaye, dukhaan kidhar gaya
Gharq hua sarwat men insaan dekho kaise
Rab ka naam o nishaan nahin, imaan kidhar gaya
Jabal pe dekho kaun hai, hai kiska wo mahal
Imaandaar hai daaman e koh, be imaan kidhar gaya
Chain o aman tha naam uska, ajdaad ke zamane men
Aaj khet kashmir ke lahu men gharq, zaafraan kidhar gaya
Be rahm hai waqt ai hukmiranon, yaad rahey tumhen
Wo raaja aur wo maharaaja, wo sultaan kidhar gaya
Le gaya dukaan 'sahil' uda kar jaane kahan
Sulagti reh gayi hai naar, dhuaan kidhar gaya
57.
Muntazir baitha hai har insaan
Ke farishta e ajal ki sawaari aayegi,
Ai shaikh, sambhal ja
Ik din teri bhi zurur baari aayegi
58.
Sannata yeh kaisa, khaamshaan yeh kaise
Neela nahin hai, aasmaan yeh kaisa
Mil jaaye maula zameen per kabhi
Yeh aarzoo kaisi, mera armaan yeh kaisa
Na naam o nishaan na tasweer koi, phir
Khizar wo kaisa, javidaan wo kaisa
Hifaazat karey na awaam ki jo , shaikh
Numainda wo kaisa, sultaan wo kaisa
Naam Allahrakha, zabaan pe maula
Kaho duniyawalo, insaan wo kaisa
Tafreeq kya hai 'sahil', tu hi bata
Aaj ka bashar, haiwaan hai yeh kaisa
Na zahn men sukoon, na dil ko taskeen
Khudaya, yeh banda tera pareshaan hai kaisa
59.
Daastaan e Musaafir e Zeest
Jis kaarwaan ki talaash thi, wo kehkashaan men kho gaya
Thak kar phir aaj'sahil' bhi, kahin dasht o diman men so gaya
Tabiyat thi kuchh aiasi us ki, har shajar ka woh baar tha
Majboor kiya jab fitrat ne, wo wahin ka phir ho gaya
Dekha jab maidan e jung, har su dekha lahu jab
Sulagte sholay dekh kar, chund ashk phir wo ro gaya
Le mazaa shajar ka tu, mat bhul ghaafil wo kis ka hai
Chalte chalte rahguzar men, tukhm ko jo bo gaya
Mahabat bhi kya shai hai yaro, zinda kab aur kab murda
Maante they apna jisey, wo hi daaman bhigo gaya
Aagaah nahin jo khatron se, milega kya gauharusey
'Sahil', bin pawaar ki kashti le kar, khud ko jo dubo gaya.
60.
Aaye hain maikade hum saqi, ke sar zad ho gham
Pi lenge aaj tu jo pilai, udaas hain bahot hum
Guzregi phir shab taskin se, farda ke lenge khwab
Yaad teri bhi aayegi, jab qareeb hoga sanam
Urooj hua jab aaftab, chamak utha tha falak
Phir, kya hua 'sahil' bata, kyon hai yeh shaam e gham
Na puccho yaro daastaan gham ki, gham to hai balaa
Nuskha batao ravaan rahey, jis se rukta hua dum
Naqsh e pa bana gaye ajdaad bhi tere
Mita diya talatum ne har unka qadam
Likhte reh 'sahil' miaan, bana isey shughal
Chhord baaten gham ki tu, utha le tu qalam
Haath men tere jaam ho, qareeb ho tere sanam
Aur kya rakha hai duniya men, bhool tu jaam e jam
61.
Kya kufr go ghadaar hai
Aur momin imaadaar hai
Khuda ek hai yaro
Sabka woh parwardigar hai
Gira ho zamin per gar
Shajar ka wo baar hai
Udta hai saba ke saath
Barg uska yaar hai,
Hum to hain sahil ke dost
'Sahil' sumundur paar hai
Usey jazbe na samjhao tum
Jazbon ka wo sardaar hai
Jab chaahe 'sahil' ko
Toor pe deedaar hai
Yaad rakho tum hamesh
Wo maula ka khaas yaar hai
62.
Khanabadosh hain sab ai karwaan e meer
Na kisi ke paon men bediyan na koi zanjeer
Yeh aawaaragi hai kaisi koi to samjhao
Kya so gaya hai aadam ka, maula zameer
Dair o haram men chain,na khumgah men surur
Na vaaiz ki zururat, na aasitan e peer
Muztar yeh kitna, yaro sheesha le aao
Koi to dikhao isey is ki tasweer
Na ukhoovat koi na hamdardi kahin
Ya rab, kya insan bana hai iblees ka safeer
Dekh daulat ka nasha, zaalim hai yeh itna
Aaj Ibadat karte hain 'sahil', sirf peer o faqeer
63.
Shabnam kya giri dahaan e gulaab per aaj
Maano, mehr ki ho husn ne kauser ke aab per aaj
Kiran haafize men jaagi, tlfli ki jab janaab
Le gaya tasawwur phir, lab e chenaab per aaj
Kya rakha hai maikade men, vaaiz tu hi bata
Kyon jaate gar aitbaar hota, aap janaab per aaj
Subh o shaam ka shumaar, ginta kya hai, bande
Munhasir nahin hain lamhe tere, inke hisaab per aaj
Chal dair o haraam ko aazma len, ai momin 'sahil'
Uth ta ja raha hai bharosa, saqi ki sharaab per aaj
Socho, ai hukmiranon, beh jaoge varna tum
Sahil pe nahin khade ho, ho lab e girdaab per aaj
64.
Kya ban kar reh gayi hai yeh ijaaradaari faqeeron ki
Kyon dilchaspi nahin hai ulfat men aaj ameeron ki
Kabhi jaam mahabat ke chhalakte they maikhaane men
Saqi, boli lagti hai ab rindon me jaageeron ki
Bahas, firasat mandon men adab ki hua karti, kabhi
Aaj zikr qilon ka, aur hoti hain baaten zakheeron ki
Tera raub o daab yahan kis kaam, ai shaikh bata
Yeh to mehfil hai ghareebon aur chund dabeeron ki
Woh bhi kya zamaana tha, har su tha qahqaha
Aaj justaju hai us zamaane ki tasweeron ki
Ai nau jawaanon, ai ghurbat ke mehmaanon, suno
Aab o gil ko zururat hai apne aseeron ki
Kisey kya milega jahan men kab, kaun jaane
'Sahil', khel hai yeh lakeeron ka, baat taqdeeron ki
65.
Milegi manzil teri dua ko 'Sahil',
Per, tujh men junoon e parwaaz to ho
Sunega maula har aah teri
Per zuhoor e jabeen e niyaaz to ho
Aarzoo, khwahish, tamanna, hasrat
Sawaab milega, raast namaz to ho
Ajab hai yeh insan khudaya tera
Aaj tere naam ki koi aawaaz to ho
Aayenge dair o haram bhi, vaaiz
Kaash meri umr daraaz to ho
Teri mehfil men saqi hungama bahot hai
Per, maikade men peene ka andaaz to ho
Padhenge yaro ghazal hum zurur
'Sahil', kahin koi naghma pardaaz to ho
66.
Thahar ja, ai aftaab, haseen hai tera naqaab
So rahi hai shab abhi, hai dil mera be taab
Mat kar hisaab shab o roz ka, bas yun hi rehne de
Jeene de yeh zeest mujhe, aahista, be hisaab
Kal tak toofaan jo uthey they, they sumundur men kahin door
Chaley aaye hain aaj dar pe kyon, ban kar wo girdaab
Dil men tere gar soz nahin, phir kya karey sitaar
Reh jaayega, ai mauseeqaar, haath men phir mizraab
Intekhaab na kar chaman men, phool, phool hain 'sahil'
Gul khilte hain jab dil men yaro, khilta hai gulaab
Maana, phool phool hai, sahi farmaya janaab, lekin
Sahib e idraak karta hai baseerat se, intekhaab
67.
Sahil', sukun bhi ik parinda hai, zurur
Aaj is shaakh per, kal jaane kis shajar per
Aayen hain tere dar pe, talaash surur ki hai
Saqi, chhord aaye hain sukun hum, aaj ghar per
Yeh chaman hai ya biyabaan, mat puchh jaanum
Daar o madaar hai iska, teri nazar per
Chalte reh raahi, fikr maazi ki kyon tujhe
Naqsh e pa rahen na rahen, raahguzaar per
Qahar dekh, ai munsif, unki nazron men zara
Ilzam na laga qatl ka, bezabaan khanjar per
Maikada, dair o haram, dasht o sahra sab,
Lekin, dum torey ga 'sahil', rab ke dar per
68.
Na sarwat na shauhrat na deegar junoon
Tamanna e dil hai mukammal sukoon
Neend khwabon men guzre, aftaab saath uthoon
Sada koel ki main har subh hi sunoon
Mai e naab to milegi saath hoor ke kabhi
Tere jaam se saqi ek aur ghoont pi lun
Na mandir na masjid na kalisa koi
Baatin men khuda hai, jannat hai daroon
Baasit hai maula, kya dega ai shaikh tu
Namaaz men kuch na maanga, tujhse kya maangun
Khud ko khush rakhna zimma mera hi hai,
Qasd karta hun 'sahil' ke khush reh sakun
Tasawwur hai tera dil men khudaya
Jee karta hai bas, ab tujhe dekh lun
69.
Na fikr dil ki na jaan ki khabar
Lamhe yun bhi guzarte hain aksar
Daastaan kya sunayen barg o baar ki
Rota reh jaata hai bechara shajar
Yun badalte hain log naqaab, yaro
Ab masnooyi chehre aate hain nazar
Kabhi rotey they pathhar bhi zaar zaar
Aaj dil huay hain lgon ke pathhar
Jannat ki mujhko nahin hai khabar,
Per teri duniya to ya rab hai zer o zabar
Zaat khuda ki pehchaan, 'sahil' mian
Us se nahin hai koi zaat bar tar
Jee chaahta hai aa kar tujh se milun
Maula, kahan se laaun main baal o par
70.
Kar lenge tauba tauba, 'sahil'
Ho to jaaye zakhm, mundamil
Sookh to le yeh jaam mai ka
Ro to le yeh pathhar dil
Aaye hain mehfil men teri
Kar lenge tauba hum jaanam
Naam 'sahil' to pukaaro
Mahabat ki hai, ai sanam
Dhundta hai kya 'sahil' bata
Manzil teri bata hai kya
Dar ba dar ghoomta hai kyon
Ma'bad se tu maikada
71.
Khuda na karey kabhi ho aisa
Khuda miley to aisa vaisa
Mahaul aisa hai jahan men 'sahil'
Har ek ki zabaan pe, hai khuda paisa
72.
Safar men 'sahil' aaj nazakat yeh kaisi
Zahr ki nadiyon men halawat yeh kaisi
Kabhi ulfat ke sunte they naghme yahan
Aaj dilon men har su, adawat yeh kaisi
Jo insan karega wo vaisi bharega, phir
Dosto taqdeer kya hai, kahawat yeh kaisi
Liye phirte hain log dilon men khanjar
Zabaan shireen, phir sadaqat yeh kaisi
Na sajda koi na lab pe naam rab ka
Tu hi bata 'sahil' ibadat yeh kaisi
Aaj khud ko maula samajhta hai, insan
Yaro, tum hi batao baghawat yeh kaisi
Commented [S1]:
73.
Nasha tera hai saqi anjaam sohbat ka hai
Bhatak jaata hai insan qusur hasrat ka hai
Nikle they ghar se aur manzil thi ma'bad
Chaley aaye maikhaane, hukm qismat ka hai
Chaman men to phoolon ki bahaar hai aaj
Udaas gulaab, asar khaar ki sohbat ka hai
Tujhe maana hai khuda per khuda tu nahin hai
Jaanam, ghalati meri nahin, qusur ulfat ka hai
Jahanum to haasil hogi hi, yeh masilah nahin hai
Dosto, door kitna hai firdaus sawaal jannat ka hai
Deewana tha majnun, kyon ghaail hai 'sahil'
Khuda se hai ulfat, qusur mahabat ka hai
74.
Tamanna, hasrat, khwahish, 'sahil'
Kabhi maikada, kabhi kaaba manzil
Khuda hi jaane kisey hui aur kahan
Tasalli aur hasraton se raahat, haasil
Tera kya thikana ai zindagi , bata
Humrahi har gaam hai qaza mustaqil
Main to haal hi men jeeta hun yaro hamesh
Kaun jaane kya bala hai mustaqbil
'Sahil', maut to ek haadisa hai, bas
Hum to zinda rakhte hain , mustaqil yeh dil
75.
Yeh kiska dhuaan udta ja raha hai
Yeh kis dil jaley ka bhala hua hai
Be rahm hai dil, zaalim wo mustaqil
Kis per kaun aaj kidhar maraa hai
Neela falak, farozaan sitaare
Kis ne baadalon ko aaj kaala kiya hai
Yeh kiski aawaaz yeh naaseh hai kaun
Yaro, zameer aaj kiska zinda hua hai
Khuftah jahan, be parwa so raha hai
Tu hi aaj 'sahil' bas jaaga hua hai
76.
Tere khaar hain behtar ai ujde huay gulshan
Murjhaye huay phoolon ki kaisi hai mehfil
Jis teer e nazar se uth ti hai mahabat
Usi teere e nazar se dil hota hai ghaail
Sumundur ki mauj se pursish yeh kaisi
Kyon aayi hai milne tujhe woh sahil
Ajab hai yeh kitni duniya teri maula
Sumundur hai zariyai aur kabhi wo haail
'Sahil', na ki hum ne fikr na parwa kabhi
Ke honge ya na honge yeh zakhm mundamil
77.
Ai zindagi, tere hum bahot qareeb hain
Ai maut, tere to hum raqeeb hain
Kiye ja, jeeye ja, naam isi ka hayaat hai
Kisey khabar, ai musafir, tere kya naseeb hain
Mat koso tum yaro qismat ko apni
Jahan men aur bhi bahot ghareeb hain
Masiha ke muqaddar men saleeb tha
Aaj, har su tabaahi, aur bhi saleeb hain
Bas kar vaaiz thak gayi hai majlis aaj
'sahil' hai, rab ke aur bhi kayi habeeb hain
78.
Hum bhool chuke hain 'sahil' us raahguzaar ko
Per, choomti hai ab bhi saba us gul o khaar ko
Kab tak rahegi haavi tujh per khazan, bata
Bula le ai chaman tu, ab roothi bahaar ko
Dar ba dar maikhaane ki hai kyon tujhe talaash
Ai majnoon, samajh le mehfil tu ujde dayaar ko
Aish o ishrat ka bhi uth ta hai dhuaan kabhi,
Hawa mat dena yaro tum bhadakti naar ko
Be zanjeer ana le doobegi behr men zurur
Buri bala hai dosto, mat paalo aasteen ke maar ko
Milega kaandha to mazaar tak hi, ai shaikh tujhe
Kya sajaata hai tu is musht e ghubaar ko
Zameen per sitaare bahot hain, soch zara
Ai insan, le jaata hai toofaan hawa sawaar ko
Likhte ja 'sahil', padhte reh kalaam apna
Ajal ke baad hi milti hai pasandeedgi, ashaar ko
79.
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they
'Sahil', falak o aasmaan they,
Peeri na thi qareeb kahin
Kabhi hum bhi dil jawaan they,
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they.
Kabhi hum bhi haseen daastaan thay
Aah they, aur sard fughaan they,
Kaasa ba dast yaar per
Kabhi hum bhi meharbaan they,
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they.
Kabhi hum bhi kisi ki jaan they
Ibadat ki aasitaan they,
Khaanabadoshon ki hum bhi , yaro
Har haal aashiaan they,
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they.
Maayoosi ki hum muskaan they
Nafraton ka nuqsaan they
Ladte they hum shaikh se
Ghareebon ki hum zabaan they
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they,
Kya kehne hain rang tere
Kya kehne hain dhang tere
To badalta hai waqt kaise
Hum to chalte hain sang tere
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they
Dil jalon ki marham ki dukaan they
Un ke dard ka gireybaan aur daamaan they,
Khareed o farokht ka sisila na tha
Ke, din pur sukoon aur log insaan they
Kabhi hum bhi meer e kaarwaan they
80..
Zinda reh kar bhi justaju rahi zindagani ki
Guftagu hoti rahi hai zeest, teri ravaani ki
Bhool raha hai 'sahil' mafhoom tu hayat ka
Fikr kyon turbat per tujhe gul fishaani ki
Pathhar ka vazn liye, dil ghoomta hai kyon
Utaar kafan musafir, yaad dila jawaani ki
Saqi, rind tere choor hain mai ki maayoosi men
Fajr ka soch, kar baaten un se shaadmaani ki
Ai faasiq, jal jaayega sharaar e gunahgaari men
Arq e infeeaal ki soch, fikr sharmindagani ki
Nasha kaisa hai aaj ahl e siyaasi ka 'sahil'
Muntazir ikseer ke, tishnagi nahin paani ki
81.
Tu kyon ro raha hai 'sahil', gilah naseeb se hai kya
Teri fughaan se kuchh hai zaahir, andaleeb ban kar suna
Nahin hun tera dushman, hun yaar main tera
Rakhunga raaz dil men, tu habeeb ban kar bata
Sunen hain qisse sabke, naale bhi sab sunen
Tu daastaan apni, dost, ajeeb o ghareeb suna
Khoon e jigar se likhta hoon, jo aaye dil men yaro
Kis ne mujhe khwahmakhwah , yun adeeb kaha
Dil saaf hai munsif, main suboot kya dun tujhe
Sahaaif ki qasm khaayi hai, tu saleeb pe chadha
Tu momin hai 'sahil' yeh to rab nen bhi maana
Aur kaun hai yahan qareeb, hamen bhi to bata
Dost banaye yaro, naam zindagi ka hai dosti
Shikast manzoor hai, khuda raqeeb ka karey bhala
82.
Tishnagi se pooch 'sahil' suroor kya hai aab men
Raaz kitne pinhaan hain, be bas dil e be taab men
Shumar kyon gunahon ka, ai vaaiz tu hi bata
Kotahi hai, ai be khabar, tere aaj hisaab men
Tabahi tera shauq hai, zauq bhi shayad khazan
Khushbu kaisi, phir bata, chaman ke aaj gulaab men
Aaye hain khumgaah hum saqi, pila ab nazron se tu
Khaali hain jab jaam tere, nasha kya hai sharaab men
Khwaab dekhe din men hum ne, raat ko khufta bhi
Farq kya hai bolo yaro, haqeeqat aur saraab men
Anjaam kya hoga dosto, kaho naadaan insan ka
Shanakht karni jo bhoola hai, adoo aur arbaab men
Badla hai zamana kaise, yaqeen dil men hai nahin
Sadaqat tere, ai vaaiz, nahin hai khitaab men
Be sahara tu nahin hai, naakhuda hai tere saath
Pukhta rakh imaan bande, gar kashti hai girdaab men
'Sahil', ma'bad tere dil men hai, kar le tu tawaaf
Kab mila sukoon kisiko, majaazi asbaab men
83.
Tamanna, aarzoo, khwahish se, kab mili taskeen kisi ko
Mil kar khaak men bhi 'sahil', kab mili zameen kisi ko,
Khel hai yeh muqaddar ka, chaahat se phir vaasta kya
Kab mili chaahne se, kabhi zeest haseen kisi ko
Hungama ho raha hai yaro, mazhab ke aaj naam per
Mushkil kya hai sochna, kyon behkayega deen kisi ko
Sukoon milta hai sab hi ko, jabeen e niyaaz men
Nahin deti hai taskeen, maghroor jabeen kisi ko
Maskhari hai duniya 'sahil', har shakhs yahan naqqal hai
Sultan ke libaas men bhi, kab mili tamkeen kisi ko
Tang dil hai jahan yeh kyon, tu hi bata, ai rab, mujhe
Aaj dushwaar kyon hota hai kehna, aafreen kisi ko
84.
Kab chalega qaafila, kitni aur taakheer hai
Hum to thahre musafir, rab kaarwaan ka meer hai
Khushi aur ghami bhi, jo bhi hai so yahin hai
Tu hi bata rab mere, phir jannat kyon be nazeer hai
Kya libaas pehnaate ho, sajaate ho tum kisey
Ud jayega faza men, jism to khaak o khameer hai
Chhord umeed javidaani ki, wo to ik saraab hai
Arq tapke jabeen se, wohi hayaat ki ikseer hai
Daastaan ban kar reh jaati hain, yaaden maazi ki
Mitti ke putle hain sab, na koi raanjha na heer hai
Na sun meri na ghaur kar, kar jo dil men aaye
Ai musafir, sun baatin ki, jahan tera zameer hai
Tafreeq, shughal insaanon ka, varna sab to ek hain
Puchh khuda se, yaar tu, sagheer hai ya kabeer hai
Yaro, qatl karne jaate ho haath men liye tegh
Yeh to socho haath men uske, qismat ki lakeer hai
Kaasa le kar phiroge, naam rab ka bhi logey
Dil se maangta hai jo dua, wohi asl fakeer hai
Dua karte ja tu 'sahil', khuli hawa men mauj kar
Zameen per hain chund bediyaan, zindagi zanjeer hai
85.
Kya kabhi is chaman men bahaar thii
Baghbaan aur bulbul men guftaar thi
Rang gulon ke they aatish fishaan
Kya gulsitaan men bhadakti naar thi
Khazaan ne kiya barbaad mustaqil
Kya gulon ki kabhi yaan sarkaar thi
Aaj bikhre huay hain khandar har ja
Kya yahan phoolon ki kabhi deewaar thi
Ai baad e naseem tu kyon na aayi
Tujhe aane men kya koi aar thi
Amad o raft unki to fitratan thi
Bahaar o khazaan men kya takraar thi
Gar qismat ne likha tha biyabaan, 'sahil'
Kya be bas khazaan gunahgaar thi
86.
Hasb e haal Insaan
Paani ka bulbula aur musht e ghubaar hai
Khudaya, yeh insaan tera be aitbaar hai
Bhoola hai tujhe, ehsaan farmosh hai
Hungama ba pa hai, yeh khud zimmedaar hai
Marham liye phirta hai chaaragar tu kyon
Is ke seene se teer to aar paar hai
Itna door ja chuka hai sadaqat se yeh
Ab to,chehron per likha hai, makaarr hai
Khud gharaz hai itna tera insaan, ya rab
Na apna, na kisi ka, na tera yeh yaar hai
'Sahil', kyon jaata hai yeh ma'bad bata
Yaro, pashemaan bashar hai, gunaahgaar hai
Bhej paighambar tu duniya men, maula
Har haal, usi ki jahaan ko darkaaram hai
87.
Raat guzarne per khatm ho jaati hai baat
Shab e hijraan ki bhi hoti hai aftaab se mulaqaat
'Sahil', kya hua, kyon hua, anban yeh kaisi
Logo, mat karo mujh se yeh fuzool sawalaat
Shaadmaani ke chehre pe qaus e quza, phir
Kyon hoti hai ashkon ki shab bhar, barsaat
Kisey hasil hui fateh qismat per kaho
Karni padti hai sulah, hon jo bhi haalaat
Ai ehsaan faramosh insaan rab ki hai kaaenaat
Kya dega tu kisi ko yahan koi saughaat
Sar jhuka kar chal aur taqdeer kar tasleem
88.
Mahabat bhi 'sahil' ghazab ki dawa hai
Bulbul ki jaise chaman men nawa hai
Andheron men jaise jalta diya hai
Fazaaon men maano bahisht ki hawa hai
Lab per naam ka, zabaan doghli hai
Jo dil se bas nikle wohi dua hai
Khuda hi khuda hain jahaan men aaj yaro
Khuda ki kisey kaho parwa hai
Hum to maante hain 'sahil' tujh hi ko dost
Biyabaan ka raasta hi tere siwa hai
Tu kuch bhi nahin hai ai shaair magar
Muqabile men uske jo dil men basa hai
89.
Zarra e shikast e khaak ko rakh tu sambhaal kar
Dil se apne phir tu 'sahil' chund sawaal kar,
Kya hua gar haara tu zeest ki nabard men
Kab dee shikast maut ko, kisi ne, khayaal kar
Mailaan e tab kyon, khud ko mitaane men
Hosh kar, ai bashar, jahaan ko mat paayemaal kar
Buri bala hai aish o ishrat, yaad rahey, 'sahil' tujhe
Rakh kar naam rab ka lab per, zawaal ko mohaal kar
Zahn o zameer hai, nek diya hai dil khuda ne
Aql o firasat ka mukammal hamesh tu istemaal kar
90.
'Sahil', apnon ko ja kar apna lijiye
Roothon ko ja kar manaa lijiye
Mai e naab hai zaahid ab pi lijiye
Sharaab ho to be shak juda kijiye
Dil to sab hi ke hotey hain paak yaro
Gunahgaron ki sada bhi suna kijiye
Vazn ashkon ka kab tak uthaaye chalega
Tanhayi men raahi baha lijiye
Manjdhaar men kashti to laazim hai khauf
Lab e sahil ho girdaab to kya kijiye
Fitratan so jaata hai zameer bhi kabhi
Khuftah zameer ko dosto jaga lijiye
Fikr karta hai sabki tu 'sahil' mian
Dil apne ko bhi to hansa lijiye
91.
Sadaqat na ho to daastaan kya rulayegi
Charb zabaan kisi ko kya samjhayegi
'Sahil', qahar dekha ho jisne qismat ka,
Usey sulagti naar, bata kya jalayegi
Gar Surdas ban kar chaloge, dosto
Kor chashm ko raushani, raah kya dikhlayegi
Na jaoge agar gulsitaan tum kabhi
Andaleeb phir naghma, tumhen kya sunayegi
Aagaah karti hai qaza, woh hi anjaam hai
Khul kar jee, ai 'sahil', woh aur kya batayegi
92.
Kamaal e zabt e sukhan to dekh lun
Kh-mosh ashkon ka fan to dekh lun
Tasavvur ke hunar ko aazma lun aaj
Khwabon men ghar ka aangan to dekh lun
Parkha hai insaan ko, umr bhar humne yaro
Kuchh waqt pech o kham e zaman to dekh lun
Misl e khazan hai peeri yaad aata hai shabaab
Kaash, ek aur mausam e saawan to dekh lun
Jaati bahaar se hai ab ilteja, 'sahil'
Thahar, ek nazar aur saman to dekh lun
Dekhen hain phool biyabaan men haseen
Ai shaikh, tere kaakh ka chaman to dekh lun
93.
Tu kahey to falak se sitara le aaun
Talatum se jaanaan kinara len aaun
Aasmaan se kauser, qaus o quza ke rang
Main wujood e ulfat ka isteara le aaun
Hukm ho tera to har haal main jaanam
Husn se chheen, aatishpaara le aaun
Ek ishaara to de, nigahon se hi
Jannat se zameen per nazaara le aaun
Bal o par nahin hain, parwaaz hai mushkil
Tu chaahe gar phir bhi, udta ghubaara le aaun
Gar tu kahey 'sahil' to baat hi kya hai
Qaza ko manaa kar, zeest dobara le aaun
94.
Aa raha hu, sabr kar, aa raha hun,
Main qaafile men, ai qaza, aa raha hun
Reton ki main jhurmaton men
Sahra sahra bhatak raha hun
Umeedon ki taameel men
Diye main jala raha hun
Evaz bulbul ke har ja,
Main, khud ko naghme suna raha hun
Sahra men, ai yaro , main
Neendon ko sula raha hun
'Sahil', hamsafar hain mah o anjum
Aaftaab ko main jaga raha hun
95.
Dhundte rahey khazaan men, hum daaman bahaar ka
Dikhlaya phir baaghbaan ne, rukhsaar gunahgaar ka
Sharmsar khazan ne dekh kar, munh pher liya phir apna
Rukhsat hui le kar wo, sahara zaalim khaar ka
Aazmaish e himmat hoti hai maidan e jung men, yaro
Salakhon peechhe band sher, kya jaane shikaar ka
Ai parindo ghar banaya, tinkon se jab tum ne
Kya bharosa kaho tum, kisi boseedah deewaar ka
Shaikh, ghuroor kis baat ka, zaalim hai yeh dunya
Marz tere baatin men hai, mat puchh haal beemaar ka
Na kar iqraar, haq hai tera, ai munkir zuroor
Phir dekh lena ek din, tu anjaam is inkaar ka
Tamaashgaah hai zindagi, tamaashayi yeh bashar
Aata hai toofan bhi kabhi, phir jhonka bahaar ka
Parwaaz kiya shabaab ne, jab sitaron se khelne
Kya puchhte ho maazi ka tum, ulfat ke rozgaar ka
Khutbaah nahin hai kaar tera, firasat mat jataa
Vaaiz nahin hai 'sahil' tu, nibha kirdaar fankaar ka
96.
Na waqt per ikhtiyaar na mustaqbil per koi
Kyon leta hai, ai 'sahil', tu zakhm dil per koi
Hoor o ghulmaan ko bhi mil lenge kabhi
Darya ke tamashayi ko,miley sahil per koi
Kaasa liye baitha hai tere dar pe dekh kaun
Shaikh, tilism ho fusoon gar ka, tere sang dil per koi
Na pahunche mere dil tak gar payaam tera
Be qusur hai woh, ilzaam nahin mehmil per koi
Ilteja hai bas itni tujh se mere khuda
Kabhi aanch na aaye maula, tere 'sahil' per koi
97.
"Doob jaate hain umeedon ke safiney us men
Main na maanunga ke aansu hai zara sa paani''
Tujhko kehte hain firasatmand, log, naaseh
Hum to samajhte hain saari dunya hai deewaani
Vaaiz, gar patta bhi nahin hilta hai maula ke bina
Phir kya hai wo haadisa jisey kehte hain naagahaani
Kyon uth te hain man men yeh sawaal tere 'sahil'
Khuda ek hai aur wo hai munfarid, la saani
Jaisi bhi guzri ho zindagi tumhaari, dosto
Be misaal hai, haseen hai yeh zindagaani
98.
Hum wo zinda dil hain 'sahil'
Dekhi jis ne, har mushkil
Zimma liya haal ka khud per
Khuda per chhorda, mustaqbil
Kya tatolen dil kisi ka
Kaun narm aur kaun sang-dil
Be hosh hain baadakhwaar, Saqi
Kya zinda dil hai yeh mehfil ?
Zeest ka naam daulat nahin hai
Is pesh raft ka kaun hai qaail
Aasaan nahin hai jeena, yaro
Hamwaar raah ke dekho, haail
Aate hain lamhe wo bhi 'sahil'
Zeest aur kabhi maut ke maail
99.
Jal jaaye be shak , yeh khaak e badan mera
Na jaley khudaya, kabhi nasheman mera
Dua karta hun tujhse, ai maula, har roz
Rahey zinda hamesha yeh anjuman mera
Phool khilte rahen, chehron pe ho tabassum
Hara bhara aabaad rahey yeh aangan mera
Tere gulshan men, ai maali, hazaaron hain gul
Mere chaman men khilta hai ik saman mera
Ab chaahat hai bas itni si, ai 'sahil'
Usi saman se baney, ik din kafan mera
100.
Baat karte ho khwaabon ki, jo faqat nazaare hain
Udte udte khwaab bhi 'sahil' misl e ghubaare hain
Zabt e gham, zabt e aansoo, yeh to ishaarey hain
Ke raushan hai zahn aur yeh uske sitaare hain
Sajda, jabeen e niyaaz, naam rab ka lab per
Ai bande,, har haal yeh tere asl sahaare hain
Yaro, gulshan men jaate ho nau bahaar dekhne
Biyabaan men bhi gul hain jo qismat ke maare hain
Har gul men ho khushbu yeh zururi to nahin
Haseen phool bhi kabhi to bantey angaarey hain
'Sahil', khud hi se na hui jab shanasaayi koi
Bata, phir kisey kahen hum, ke woh hamaare hain
101.
Yeh faza e khamosh kyon, ai 'sahil', bata
Shab-e-hijr door hai kya hoga haal dil ka
Kya na hoga mere aaftaab ka urooj kal
Jaari rahegi mah o anjum ki mehfil, kya
Kya na soyenge sitaare kal subh ko, bata
Kya be karaan hogi raat kya hoga narm-dil ka
Utha lenge teri aashuftagi ka vazn, ai dil
Yaad rahey bhaar zyada na ho mehmil ka
Vaaiz ko na bula, mai e naab na pila
Soch saqi, kya hoga rindon ki mehfil ka
Hijr to hoga kab hoga visaal, ai nujoomi
Kya khabar 'sahil', kaun jaane haal is dil ka
102
De 'Sahil' jo de sakta hai, khul ke de
Faani hai jahaan, kyon karne giley shikwe
Misl e reg be sabaat hotey hain, yaro
Bahot naazuk hotey hain baahami rishte
Ai nau jawanon, tehzeeb ko na bhoolna
Seekh lo tum karna, aadaab - o - namaste
Bheje khuda ne paighambar zameen per
Lekin, roz to na aayenge yahan farishtey
Na paaydaar hai kitna yeh insaan 'sahil'
Phisalti zabaan hai aur paaon hain khisakte
Ya rab, kya shaitaan baste hain dil men iske
Maula, ab tu hi bata isey haq ke raste
Tu bhi keh de 'sahil' justaju thi khuda ki
Aur guzri hai zindagi, taraste taraste
103.
Kis per kab aa jaaye yeh aawaara jaan
La mahdood hai yeh dil, ai bahr-e- be-karaan
Rang o bu nakli, chitwan bhi munafiq
Mahabat karnewaale milte hain kahan
'Sahil' kufr hai ya hai yeh asliat e bayaan
Ai falak, nasheman kiska hai wo saatwaan aasmaan
Hum - aahangi men bhi daraaren aati hain
Ai humsafar zeest, tujh per jaan hai qurbaan
Imtehaan hai 'Sahil' har lamha e hayaat
Kis ne kaha ke yahaan jeena hai aasaan
Aao bahaaro jashn manaayen chaman men aaj
Alvida keh gayi hai be raham khazaan
Qaroon ki daulat men nahin hai itmenaan
Kya karenge pa kar hum bahr e be karaan
Mat kar koi sawaal vus'at- e- be- taabi ke
Khaanabadosh hai dunya, ai meer e kaarwaan
104.
Sataati hai bahot yaad-e-raftagaan bhi
Dekhta hai kh-mosh be bas aasman bhi
Sumundur ki talaash hai behte darya ko
Thak kar rukta hai kahin, hai ravaan bhi
Ai bashar, pa ba joolaan kyon hai tu
Jeena mushkil hai bahot per aasaan bhi
Dil ka paak hona to farmaan hai khuda ka
Lekin, sadaqat se rangi ho teri zabaan bhi
Dushman bhi ghar aaye to farz hai tera
Yaad rakhna ke shaitaan hai tera mehmaan bhi
'Sahil', yaadgaar ki manzil rakh naam yaadon ka,
Dil peeri ka hai shikasta aur jawaan bhi
105.
Hairat hai ke dhadakta dil abhi jawaan hai
Hairat hai ke daur e hayaat abhi ravaan hai
Har shai kyon pa ba joolan hai, hairat hai
Hairat yeh bhi hai ke abhi khula aasmaan hai
Saqi, bata kya vaaiz ki thi mehfil yahaan
Dekh udaas kitna sar e ritl e giraan hai
Baad e nau bahaar nahin, daur e khazaan hai
Gul na khaar, haif! be kaif yeh samaan hai
Yaqin tha, imaan tha, dhadakta dil aur shola tha
Aaj jidhar dekhiye soz e dil ka dhuaan hai
Insaan tha, maula tha aur saatwaan aasmaan tha
Ab faza men dekh 'sahil' sirf vaham o gumaan hai
Note: sar e ritl e giran
Wineglass, goblet
106.
'Sahil' hai khwaah sahib e dil hai
Saraaye hai zeest, ya manzil hai
Tegh e ajal sar per jhoomti hai
Kaho, jeena aasaan ya mushkil hai
Ahl e junoon ko raah e junoon men
Junoon ka lutf pur haasil hai
Kya karega ja kar ma'bad, raahi
Gar jannat teri manzil hai
Ai musafit, tujhe yaad rahey
Sahil hi kashti ki manzil hai
Talaash hai tujh ko 'sahil' kya
Jab hayaat teri ik mehfil hai
107.
Ab aur kya kisi se marasim badhaayen hum
Jab dil men sukun hai, hain be niyaaz e gham
Dawa na dua na hi chaaragar ka faisla
Hamdardi se badh kar nahin hai marham
Zara si saba uljha deti hai hamen
Tumhen raaz kya bataayen, tum naazuk ho sanam
Be suri hai bulbul, gham usey hai kya
Kyon manaa rahey hain chaman men, gul maatam
Yaqin hai asaas, ai sukhan sanj 'sahil'
Wo bhoola hai rab ko jiska shauq hai vaham
108.
Daastaan na sunao tum vaardaat- e -qalb sunao
Kahaniyan tum baithe baithe yun na banao
Rafeeq e zindagi to sab hi hain, 'sahil' mian
Tum kabhi anees e ajal ban kar deekhao
Hayaat e ishq to jaageer hai jawaanon ki
Kuchh sunao to baat ramziyyat ki sunao
Gar sitaron se guftagu hai bulandi e nazar
To yun baith kar hum se tum baaten na banao
'Sahil', parwaaz kar, ja mil khuda e do jahaan se
Kya khabar koi farishta kahey, aao, aa jao
109.
Khata hui hai 'sahil' se yeh to maana zuroor
Koi vajh bhi to puchho kya tha wo majboor
Maghfirat to hogi roz e mahshar, munsif
Daar per mat chadha jab khata hai manzoor
Inkisaari hai ta'b yeh jaante ho tum
Nahin shaamil hai 'sahil' men, ik zarra e ghuroor
Wo insaan hai seedha saada yeh maante hain sab
Baat kijiye aap apni, shaikh sahib huzoor
Sanjidah hota hun main sun kar khutbe tere
Kya jaane tu vaaiz, mai e naab ka suroor
Chalo uboor karen yaro shayad us paar miley hoor
Firdaus kis ne dekha, jannat hai bahot door
Tajalli miley, ya rab, to nasheman men mere
Nahin jaana hai mujhe sair e koh e toor
Biyabaan ho ya dasht o sahra, yaad rahey 'sahil'
Wo zulmat se kya darega jiske dil men ho noor
110.
nigaah e mard e momin rok deti hai toofaan ko
Fughaan teri 'sahil' cheer deti hai aasmaan ko
Tere zulm ki charcha shahar men phaili hai aise
Sunte hain shaikh, sharm aati hai zindaan ko
Insaan insaan men farq kya hai batao yaro
Tabaqe ka na ho izzat phir bhi do mehman ko
Sunao kahaani to kahaani hi sunao
Kabhi tamasha na banao daastaan ko
Bahot zaalim hai duniya faani hotey huay
Sambhaal kar rakho logo tum apne daamaan ko
Jaise rakhte hain shamsheer ko niyaam men
Sambhaale rakh, ai sahil' tu apni zabaan ko
111.
Ibadat to 'sahil' ishq e butaan hai
Varna, imaan bhi ik khula aasmaan hai
Sauda imaan ka, sauda jahan ka
Tu bata maula yeh kaisi dukaan hai
Kya hua hai kaho, baahami rishton ko,aaj
Jab murawwat hi khud men, rooh e rawaan hai
Andaleeb, gulsitaan, nasheman mera
Jaanaan, tu hi bata kahaan teri jaan hai
Kya karen hum bharosa kisi per koi
Mahabbat bhi yaro, jab bad gumaan hai
Jidhar dekhiye ik hungama ba pa hai
Kya hua hai jahaan ko, yeh kaisa insaan hai
Bhoola hai kyon tu rab ko musafir
Na makaan hai tera, na la makaan hai
Jeeney ke sahaarey bahot hain , dosto
Gham hai, dard hai, yaad e raftgaan hai
Kuchh padh kalaam aisa ke maanen tujhe shaair
Radeef qafiya milana to 'sahil' aasaan hai
112.
Qaza ka karti hai peeri intezaar
Aur rehti hai zeest har lamha, hoshyaar
Ajab hai maut o hayaat ka rishta
Milte hain jaise khazan o bahaar
Zeest, misaal hai bulbule ki, 'sahil'
Usey aab kahun ya musht e ghubaar
Zinda hai hasrat tamashayi men
Jaane sahil hai kaisa darya ke paar
Kyon jaate ho karne maazi ki sair
Jab milti hain yaaden tumhen daaghdaar
Baarish men karta hai gaane ko jee
Fusungar hai naghma, raag malhaar
Usey phool hi milenge har ja, logo
Dost hon jiske chaman ke khaar
Taabedaar hain tere maan le jaanaan
Sach keh rahey hain, ai haseen, sarkar
Karey jo chhahey yeh matlabi dunya
'Sahil', tu to rakh apna zameer, bedaar
113.
Muntazir hai dhuen ka aasman aasmaan
Parwaaz karta hai dekho dhuaan dhuaan
Rok sakte ho shaikh to rok kar dekh lo
Darya ka behna hai ravaan ravaan
Mahabat ki hum ne ki izzat mukammal
Raaz dil men raha nihaan nihaan
Mat bahao inhen darya ki maanind
Ashk hotey hain yaro, giraan giraan
Hua karta tha kabhi imaan awwal
Aaj faza men bhi hai, gumaan gumaan
Bhatakte rahey umr bhar hum yaro
Sukun ki talaash men kahan kahan
Maana ke 'sahil' hai sin raseedah
Per dil uska ab bhi hai jawaan jawaan
Dil shikasta na hona dosto kabhi
Leta hai rab, imtehaan imtehaan
114.
Waqt ka pa band hun, waqt hai zanjeer
Waqt sab per haavi hai, murshid ho ya peer
Kasa ba dast faqir ho ya ho koi ameer
Kaun hai sagheer in men aur kaun hai kabeer
Khokhla hai daulatmand, khuftaah hai zameer
Ajab hai yeh dunya logo, hoshyaar hai faqeer
Nazar jhukaaye aate hain dar pe tere sab
Kaun hai gunagaar munsif, kaun daamangeer
Bujh chuka hai noor dil men insan ke, ya rab
Zameer jaga, lau jala, baatin kar muneer
Peshraft hungama hai, karen jo chaahen log
Kh-mosh ho kar sun 'sahil', kya kehti hai taqdeer
115.
Sanjeedagi bhi 'sahil' kya na muraad hai
Maskharon ko jahan men daad hi daad hai
Kartab gaah yeh duniya, tamashayi sab
Naqaal ki zabaan to pur aazaad hai
Aasaan hai qadam rakhna raah e darogh per
Raast ki raah to yaaro bahot be daad hai
Kya hua hai khudaya qahr ko tere
Jab har su yahan, mahz istebddaad hai
Kabhi basta tha dilon men haq ka tassavur
'Sahil', aaj haqeeqat jahan ki irtedaad hai
116.
Marhale dard ke jab bhi aate hain
Hum kuchh der ruk kar guzar jaate hain
Ashk to behte hain be bas hi yaro
Hum to ranjeedah dil ko behlaate hain
Nazar aati hai bu shikastagi ki, jab
Hum apne veeraan kuche ko sajaate hain
Hamdard kaun hai tanhayi ka 'sahil'
Hum to ro kar khud ko sulaate hain
Naaraaz hai aaftaab bhi hum se, yaro
Bahot mushkil se khud ko jagaate hain
Ajab hai yeh zamaan bhi dekhiye, kaisa
Log, haath thaam kar bhi giraate hain
Tanz aamez hai yeh dekhiye kaise
Anjaane bhi aaj naam se hi bulaate hain
Chhord gayi bulbul bhi chaman aaj mera
'Sahil', ab naghme hum khud ko sunaate hain
117.
Aatish e gul, khaak e zameen, ujda gulistaan
Kiska hai 'sahil' bata, yeh udta hua dhuan
Mat bahao ashk yaro pareshaani men tum
Kya karoge uthegi jab dard e dil ki fughaan
Sawaal karna hai yaro to khud hi se karo
Sookhe chashm se puchho ashk kitne hain giraan
Kabeer hai kitna tera zindaan, ai insaan
Qaid hai tu hudood e zamin o aasmaan
Suna ai 'sahil' kahani tu zeest ki apni
Mat suna daaastan koi hadees e digaraan
118.
Tashreeh e Mahabat
Bandish hai, zanjeer hai, naam mahabat hai
Wafaa hai asaas, bunyaad sadaqat hai
Fitrat to dil ki hai khaanabadoshi, logo
Per aawaargi e dil to adaavat hai
Karo jis se chaaho mahabat tum yaro
Khud se mahabat bhi ik zururat hai
Kabhi banti hai raakh ulfat bhi, dosto
Phir to baad e saba bhi uqoobat hai
Daur e mahabat bhi ajab hai 'sahil'
Dil raushan aur zahn men zulmat hai
119.
Kyon puchhte ho logo mera pesha hai kya
Tum hi batao yeh be kaari hai kya
Saqi se puchhte hain log,maikhwaari hai kya
Chaarahgar se 'sahil', dil ki beemaari hai kya
Teri mehfil men shaikh yeh toote sitaare kaise
Sitaron ki falak se hui aatish baari hai kya
Raaz pinhaan hain sab ke dilon men jab
Kya batayen tumhen parda daari hai kya
Khurshid ka aamad o raft muztari nahin
To batao phir logo be qaraari hai kya
Rab ke hotey huay samjhao tum, yaro
Hayaat ki zimmedaari hamari hai kya
Yaro, maut to maut hai,kaari nahin hai maut
Bata phir'sahil', khauf o kyayal e maut kaari hai kya
Kyon banaata hai tu insaan, fazaon men kaakh
Paayedaar, hawaaon ki sawaari hai kya
Yaro, har roz jo lagata hai shart tum se
Woh aaftaab tum se kum jawaari hai kya
120.
'Sahil' ka khumgaah se sarokaar hai bahot
Raah e shauq ke gulon per aitbaar hai bahot
Jalwe husn ke dekhe hain yaro bahot, lekin
Barq ki tajalli, be misl nazaara hai bahot
Khaanabadosh hai yaro,yeh dil fitratan
Qaid hai zuroor, lekin aawaara hai bahot
Tishna baitha hai kyon lab e darya, musafir
Behte aab ki tujhe jab darkaar hai bahot
Maana ke zaalim hai waqt ki shamsheer, per
Aazaar men yaro, waqt madagaar hai bahot
Doobti kashti bataaye mafhoom sahil ka
Yaro,, sahil ka sahara, sahaara hai bahot
'Sahil', zimma jahaan ka mera nahin hai
Main ne koochey ko apne sanwaara hai bahot
121.
Charagh e raah kya bataaye manzil hai kahan
Doobti kashti kya bataaye sahil hai kahan,
Kis se puchhte ho sawaal zara socho, yaro
Bechaara zahn kya bataaye dil hai kahan
Jisey aadat ho soney ki sitaron taley
Usey kya khabar baalish e makhmal hai kahan
Har shai ka makaam bhi muayyan hai yaro
Jaise dhuoond leta hai kaasa narm dil hai kahan
Woh mitti ke khiloney se badh kar nahin hai
Dosto, insaan se na puchhna, gil hai kahan
Usey khud nahin maaloom bekhudi hai aisi
Kya bataayega 'sahil', 'sahil' hai kahan
122.
Sard fughaan, ranjish-e-be-jaa, dil hai udaas
Imaan hai, yaqeen hai, khushi kyon nahin hai paas
Sawaal uth te hain kaise zahn men ab 'sahil'
Kabhi apna thi dunya, ab charagh na koi aas
Gar shab ko na sunaaun, to sunaaun phir kisey
Daastaan e waqt e jaur hai be qaraari ki assaas
Hum kya karen shaikh tere kaakh o gulzaar ka
Mutamayin hain hum apne jahaan -e- iflaas
Hogi pasand ravaani darya ki kisi ko
Khud- daar uski aafreen, na ho jisey koi pyaas
Yaro, hungama ba pa hai jidhar bhi dekhiye
Kho baitha hai jahaan apna hosh o hawaas
'Sahil', koi zururi to nahin hai kehni har baat
Mat kar tu baaten, jo na aayen kisi ko raas
123.
Sar men sauda, larazte huay qadam
Per, aarzoo e zeest se nikle na dum
Girdaab to 'sahil' hai sumundur ka khel
Kyon kash ma kash men phir, ghir gaye hum
Mat koso tum yaro, sang dil, sang dil
Us shaikh se milao jiski aankh ho num
Anjaam zindagi ka maaloom hai sabko
Kya bataayega logo tumhen jaam e jam
Is peshraft ke junoon men kufr dekhiye
Bhoola hai insaan paak dair o haram
Khauf nahin hai kisi ko zindaan se aaj
Parwah kisi ko nahin gar ho bhi zam
Shaair hun, mera kaam hai shayr padhna
Na suney koi, tu to sun le sanam
Naam na loonga ghalib na firaq na aur
Shaair to hum bhi nahin kisi se kum
Tu chalte chal 'sahil' tanha hi sahi
Raah e khuda per khuda hai, tera humdum
124.
Shayad qaza ko tera intezaar hai
Lekin, zindagi tu badi be etibaar hai
Maana ke husn be misaal hai mahtaab ka
'Sahil', chehra wo haseen per daaghdaar hai
Ulfat naazuk hai, maidan e jung nahin
Hayat vaise bhi yaro kaarzaar hai
Kya shaan o shaukat, jalwa tera, Shaikh
Khuda ka banda hona hi iftekhaar hai
Sufi hai, khush qismat hai, jo chaaho kaho
Be qaraar jahan men, jisey qarrar hai
Mat puchh riza meri, ai khuda mere
Hukm kar ya rab, 'sahil' farman bardaar hai
125.
Gham e firaaq ko le kar kahaan jaayenge
Biyaabaan ke gul bhi ab zuroor sataayenge
Ajab hai yeh kitna, dekh silsila 'sahil'
Ke haseen gul bhi hamen aaj rulaayenge
Koi to kaho ja kar us sang dil se, yaro
Hum chehra e mahabat unhen deekhaayenge
Khuftagi se be zaar, khwaab na aayenge
Maah o anjum nahin, dil ke khaar sulaayenge
Kabhi tarasta tha naghma gosh e yaar ko
Ab lori bhi hum khud hi ko, sunaayenge
Haasil ho fateh maidaan e zeest men ya na
Hum khud ko, yaaro, to nahin haraayenge
Nabard hai yeh zindagi, ai qaza samajh
Ghalat fahmi na ho ke hum dar jaayenge
Tu rooth bhi jaaye hum se , gar 'sahil' kabhi
Tujhe to, ai dost, har haal hum manaayenge
126.
Ai jawaani, bahot yaad aati hai tu
Daur e peeri men bahot sataati hai tu
Sochta hun jab jawaani ka main
Woh bhadakti shab ki yaad aati hai tu
Aftaab aur main ghuroob hotey hain yaksaan
Per, umeed e subh bahot sataati hai tu
Main so raha hun kiran, mat jaga mujhe
Mere khwabon ko kyon jagaati hai tu
Naghme suna tu ai andaleeb mujhe
Soz e dil ke naale kyon sunaati hai tu
Ai baad e saba, kabhi ruk bhi to ja
Pareshaan kyon udti jaata hai tu
127.
Maikhwaar hun, maikada hai meri jaan
Tamanna e baarish hai, ai aasmaan
Tu na barse na girey shabnam, na sahi
Ashk bahaana to hai aasaan
Gul na milen gar chaman men dosto
Chalo, dhundte hain ja kar biyabaan
Chaar din ka mela yeh jahaan, yaro
Fuzool hain phir fughaan o giryaan
Bahot zaalim, jaan leva hai aarzoo
Leti hai yeh mukammal imtehaan
Shukr mana le ai 'sahil' miaan
Ke dil men khuftaah hain tere, armaan
128.
Sheesha miley mazaar per to baat hai saqi
Zabt ho jazbaat per to baat hai saqi
Dar rahey khula tera aarzoo hai dost
Subh ho khwaah raat, to baat hai saqi
Maah jabeen se mila to koi baat baney
Aaftaab se to khoob mulaqaat hai saqi
Lete hain hain khwab hum jaavidani ke
Zindagi to bas ik ribaat hai saqi
Muztarib kyon hai 'sahil', ai saqi bata
Rind ko dekh, kaisi qan'at hai saqi
129.
Sabr kar saqi taweel hai raah e maikadah
Namaaz padh kar kaafir, aa raha hun main
Chaman parast hun, azeez hain mujhe phool
Khaaron se riha pa kar, aa raha hun main
Kis gham men gharq hai andaleeb, batao
Ke naghme chaman men,suna raha hun
Tere dar pe, ai saqi, sab rind to nahin
Rab ke bandon ko mai e naab pila raha hun main
Na raanjhe, na farhad na waamiq ki daastaan
Ai humdum, kahani apni bata raha hun main
Kor chashm hai duniya, kya karun 'sahil'
Aayena jahan ko deekha raha hun main
Dar ba dar ghoomta hai yeh kaasa ba dast insaan
'Sahil', haath men liye sar apna, apna sar o saamaan
130.
Gul ko giley ka baar kya
Mahabat men jeet aur haar kya
Adoo na ho to yaar kya
Adavat na ho to pyaar kya
Khaak hua tukhm khaak men
Gul ka phir intezaar kya
Muztarib na ho gar tu kabhi
Ai dil, tera phir qarrar kya
Gar veeran na ho basti koi
Kaho iram aur gulzaar kya
Khwaab me kisi per vaar kya
Hawa men ghoda savaar kya
Karte ho baat maah jabeen ki jab
Phir husn ka hona daaghdaar kya
Dozakh na ho to firdaus kya
Bin khazaan ki kaho bahaar kya
Hasb e haal per hai yeh tabsira
Kharidaar na ho to baazaar kya
Kaaghaz ka phool hai sarvat, logo
Daulatmand aur daulat khwaar kya
Jangal bana hai yeh jahan, dekho
Kaho, gunah aur gunahgaar kya
Na ho agar shaitaan har su, dosto
Jannat men parvardigaar kya
Muqarrar hai qaza, ai 'sahil' mian
Yeh maut per rona zaar zaar kya
Ajal se khauf yeh kaisa yaro
Zindagi kam azzaar hai kya?
131.
Nuskha de ya kh-mosh baith, ai vaaiz mian
Kya hai koi paas tere dard e dil ka darmaan
Suna tujhe mahraab se khutba padhte huay
Laga mujh ghareeb ko tu zyada hi pareshaan
Kabhi haseen they khwaab chund raaton ke yaro
Umeed na thi yaqeen na tha, na koi gumaan
Veeraan hai meri basti, khaak hai wujood
Mat pakad ai qayamat, mera ab girebaan
Is hungama e daur e jahan men, dosto
Wo yaaden kuhan ho gayeen nisyaan
Kis lagan se likhta hai ai shaair tu
Teri tasteer ki lakeer banee rag e jaan
Kaasa b dast kyon ghoomta hai, ai 'sahil' sahib
Haath men liye sar apna, kul sar o saamaan
132.
Ijtema e maah o anjum ka dekhiye kamaal
Aisi anjuman to 'sahil' hai zameen per muhaal
Sitaaron ki chamak ya mere maah ki damak
Aalam e sifli ka kamaal, khwaah aalam ulawi ka jamaal
Woh parwaaz kya karega taqaabul e uqaab
Na hon jiske par aur na heen vaise baal
Yeh peshraft bala hai dosto kaho kaisi
Aaj paise ne kiya hai imaan ka paaemaal
Yaro, aqeedat se badh kar kuch bhi nahin hai
Kabhi haleef ka mat karna, tum na jaaiz istemaal
Kaafir ko banaya hai khuda hi ne dosto
Liye phirta hai usey woh, usi ka hammal
Hairaan hun main sun kar, ai 'sahil' miaan
Log kehte hain tera, kalaam hai be misaal
133.
Sham'a ke muqabil rukh e raushan kya hai
Mujhse nahin 'sahil', parwaane se puchh
Gar jalne men hai jaavidaani to phir
Fana hone ka lutf, us deewaane se puchh
Be sawaad hai sharaab, na hi nasha be khudi ka
Mai kyon hai aaj aisi, tu khazaane se puchh
Mast hai saqi apne pyaalon men jab
Kashish kya hai is ja ki, maikhaane se puchh
Dar hai, deewaar hai, baagheechey men phool
Haavi kyon hai tanhayi, aashiaaney se puchh.
Jaam me gharq rind ka anjaam mat puchh
Hazrat e vaaiz, zinda kaun hai , zamaane se puchh
Kahaani dar kahaani, haadissa dar haadisa
Kaisi guzri hai zeest, yeh afsaane se puchh
'Sahil', le gaya tha kisi ko firdaus tak meraaj
Sar e baam hai bahot dur, jazba e chaahne se puchh
134.
Wo jo nazar se mastoor hai
Wohi zulmat men dilon ka noor hai
Paikar e husn ka zikr kyon
Jab dil men tasavvur e hoor hai
Bhatakte dil se kya giley
Wo be bas o majboor hai
Nakhre mat deekha saqi, na pila
Nasheman pe mere angoor hai
Lutf andoz hai be wafai
Haaye, wafa bhi kya dastoor hai
Har su hai shaadmaani 'sahil'
Tere dil men kyon aaj ranjoor hai
135.
Hasraton ka majmua tera naam insaan hai
Sitaron ka nasheman tera naam aasmaan hai
Kya haal kiya hai tu ne, ai bande khuda ke
Jahan fana hi lagta hai tera darmaan hai
Yeh jhagde yeh fitne, hungama ba pa hai
Shaitan ka jahan hai, yahan insan kahan hai
Yeh jo chalta hai zameen per, kaun hai wo
Banda e khuda hai ya hindu musalmaan hai
Har aarzoo nahin banti hai dua, ai 'sahil'
Diljalon ki khwahish bas dood o fughaan hai
136
Shabnam giri gulaab per, tishna rahi zameen
Tadapti rahi hasrat kahin, shaadmaan kahin taskeen
Dil e muztar bata, kyon hai tu yun pareshaan
Door kyon hai sajdon se teri haseen jabeen
Nahin hai zamana ab sadaqat aur imaan ka
Pehlu men sab ke baitha hai, ik maar e aasteen
Kabhi karte they puja, dairo haramke tawaaf
Aah daulat banee hai yaro sab ki, habl e mateen
Likh jo chaahe 'sahil' tu, tanqeed kar ya tanqees
Zabaan teri pe alfaaz hon, to hon sirf shireen
137.
Yun bhi la mahdood thi wus'at mere armaan ki
Justaju is dil ko thi tanhayi ke darmaan ki
Hum na kehte they 'sahil' yeh pesh raft le doobega
Bhoola hai rab ko insaan, zururat hai iman ke saamaan ki
Har ja baste hain maula shaitaan jahaan men
Zururat hai jahaan ko tere insaan ki
Har gul gulsitaan men khaar bana baitha hai
Talaash hai dosto kisi paak biyabaan ki
Yeh tabsira hai 'sahil' teri duniya per aaj
Haalat khastah hai dekh kaisi is jahaan ki
138.
Jafa e ishq e butaan ki baat mat
'Sahil', guzre zamaane ki baat mat kar
Khursheed, na sham'a na hi maah o anjum
Har su hai zulmat, ja e farozaan ki baat mat kar
Mere ashkon ko dekh kabhi behte huay
Darya hai ravaan,tu toofaan ki baat mat kar
Aaj dekhi hai main ne raunaq chaman ki
Aashuftah hun, dil e veeraan ki baat mat kar
Mera haafize hai saaf manind e sheesha
Bhula diya hai maazi,nisyaan ki baat mat kar
Har shai hai nihaan, har dil men hain raaz
Chaand pehne hai naqaab, uryaan ki baat mat kar
Mujhe qaid kya karega, ai bad naseeb shaikh
Aseer hun armaan ka, zindaan ki baat mat kar
Gulsitan, biyabaan, garmiye baazaar , bas
Faqat inhen samajh lun, jahan ki baat mat kar
Asliat e zeest ghazal nahin hai 'sahil'
Qaatib e taqdeer, ghazal kwaan ki baat mat kar
139.
Taskeen milti to 'sahil' saadagi men
Khuda ki ibadat aur bandagi men
Taskeen na ho to kuchh bhi nahin
Na sarwat na shauhrat is zindagi men
So ja 'sahil' ilteja khwabon ki hai
Shayad miley taskeen tujhe khuftagi men
140.
Ye zulmat bhari shab bhi to kabhi taaban thi
Ye bujhi hui shama bhi to kabhi pareshan thi
Aks peeri ka sheeshe mem mat dekhiye
In aankhon ki masti, bhi kabhi jawan thi
Murjhate gul per afsos kyon, fana to laazim hai,
Us gul ki bhi to kabhi aan baan aur shaan thi
Yaro, mushkil hai bahot haqeeqat ka saamna
Naaseh ki kahani to dilchasp o aasaan thi
Adl ho hamesha yeh zururi to nahin
'sahil', qismat khud apne kiye per hairaan thi
141.
Aansoo na baha ai dil e nadaan
Marz e ulfat nahin hai meharbaan
142.
Maanta hun 'sahil' ke roz e paidaaish se hi
Ek muthi men hayaat aur ek men payaam e talabi hai
Andheron ka rishta raushani se hai gehra
Adavat ka jaise mahabat se hai
143.
Koi mahabat karnewalon ko yeh samjhaaye
Ke dil de kar phir wapasi nahin hoti
144.
Kho jaata hai 'sahil' tu khwabon men kyon
Kis raahat ki tujhe talaash hai
145.
Maikade ko jeena seekha de Saqi
Kabhi aa, aur masti e dil e 'sahil' ko dekh
Qafas men hun, baal o par nahin, to kya hua
Naam parinda hai, khalaaon ka hun main sayyaara
Un unglion ke lams se kyon mai chhalak gayi
Kiski theen wo ungliaan, kaun wo fusoongar
146.
Mujh se aa kar mil tanhayi men meri, varna
Hangaame men 'sahil' tu kho jaayega
'Sahil' mere qafas ke yeh nishaan kya hain
Zamin aur yeh aasmaan kya hain
Toofaan miley mujhe to sahil ke aas paas
'Sahil', jannat qareeb hai kitni dozakh ke aas paas
147.
'Sahil', woh bandagi hi kya jo be kaif ho
Khuda ho ya ho majaazi sanam